Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ufaq k uss paar

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ufaq k uss paar

    SAMAJH LENA......

    Thaka hua zard aaftab
    soona aasman
    pheekay shafq rung
    chup chaap istaada ashjaar
    aisay hi wehshatnaak sannatay mein
    bain kerti sarsraati hawa mein
    kisi tunha punchhi ko urrta dekh ker
    samajh lena k uffaq k uss paar
    kisi ki bheegti barsti aankhon
    aur sulagti sochon mein
    kitni hi hasratein maatam kunaan hein
    jo ab tumhari lahu rang aankhon mein
    chupkay se utar aai hein....


    By Muskan



    Attached Files
    Last edited by WOH LARKI; 25 November 2005, 13:13.

  • #2
    Re: ufaq k uss paar

    [FONT=Trebuchet MS]Muskan bohat pyari nazam kahi hai aap ney bohat achhai lagi aur yaqin ho geya hai keh aap ki shairana soch bhi bohat aala hai. :rose
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #3
      Re: ufaq k uss paar

      Ji bohttttttttt shukriya( aik aap hi hein jo tootay phootay lafzon ko shayeri samjhtay hein aur bardasht kartay hein:lol )

      Comment


      • #4
        Re: ufaq k uss paar

        hmmmmmmmmmmmmmm aap azad likhti hain bohat zabardast
        main zyada tarr azad likha hua pasand karta hoon bohat bohat shukrya share karne ka
        kya yaad bhai nazm kahi hai zabardast :)
        Allah

        Comment


        • #5
          Re: ufaq k uss paar

          Assalaam o alekum,


          Waaah bahoot khoob bahoot hi zabardast likhaa aapnien muskan dili daad qabool karien shukriya humse share kernien kaa khush rahien
          :tang: RISK IS MY BUSINESS

          DANGER IS MY GAME

          DONT PLAY WITH ME
          BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

          Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

          Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

          Comment


          • #6
            Re: ufaq k uss paar

            Khurram bhai aap ki DILLI daad hum ne qabool ki:D aap ka bhi bohht hi shukriya k nazm aap ko pasand aai.

            Comment


            • #7
              Re: ufaq k uss paar

              Muskan,
              I am still awaiting for the roman versions of few of ur poems.
              Brijinder

              Comment


              • #8
                Re: ufaq k uss paar

                Originally posted by Brijinder
                Muskan,
                I am still awaiting for the roman versions of few of ur poems.
                Brijinder

                Brijinder ji,

                Aap iss poem ko ab roman mein parh sktay hein mein ne edit ker di hey roman k sath.

                Aap ka tah e dil se shukriya ada kerti hun aur aap ko intezaar ki zehmat uthana parri uss k liye maazrat.:rose

                Comment


                • #9
                  Re: ufaq k uss paar

                  Muskaan,
                  You are on te right path.Ur poems are different.I don't much care for the poems which totally adhere to all the fixed parameters of urdu poetry n yet are devoid of soul.I call these pretty mummies.It does not mean that i dont love poems which are not azad,I have far too deep love for many of the poets sticking to that form too.But dear,I dont much care for just a pretty arrangement of words.
                  Keep writing n KEEP READING urdu poetry and world litrature as well.If possible go beyond,litrataure to philosophy,psychology,history and develpoment of of scince n other subjects.Recently i finished a very beautiful book on scince by Bill bryson called "A Ashrt History of Almost Everything"Do read if u can.
                  All my best to you in ur journey.
                  Brijinder

                  Comment


                  • #10
                    Re: ufaq k uss paar

                    Muskan ji aap ki likhi yeh nazm bhi bouhat pasand aai.:masha :)
                    :roseENIGMA:rose

                    Comment


                    • #11
                      Re: ufaq k uss paar

                      Originally posted by hayaa_n
                      Muskan ji aap ki likhi yeh nazm bhi bouhat pasand aai.:masha :)

                      Hayya ji iss qadar pazeerai k liye aap ka behadd o hisab shukriya ada kerti hun.:rose

                      Comment


                      • #12
                        Re: ufaq k uss paar

                        buhat khoob
                        Muskaan jee nazm ke liye daad qabool kijye
                        khush rahiye
                        zmufti

                        Comment


                        • #13
                          Re: ufaq k uss paar

                          nice janab wa ji wa
                          bohat hi khub keya hi peyara andaz hai
                          nazam lekhny ka
                          nice janab bahot khub

                          Comment


                          • #14
                            Re: ufaq k uss paar

                            Muskan
                            bohat khubsurat wazeh aur puasar nazam kehi hay aap naiN

                            regards
                            sohail malik

                            Comment


                            • #15
                              Re: ufaq k uss paar

                              hmmmm.....
                              wha muskan ge bahot acha lekha ha app na..
                              sigpic

                              Comment

                              Working...
                              X