Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Khwaab dekha na karo....................

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Khwaab dekha na karo....................

    Aadaab,

    DostoN ki nazar humaara toota huva khwaab.........................

    khwaab tooten hain to ab khwaab ka charcha na karo
    dil ke tukRo ko sar-e-aam yun rusva na karo

    dard hi dard ye mehboob diya karten hain
    in se ailan e mohabbat ki tamanna na karo

    zulmat-e-shab me sehar me na rahe farq koi
    apni aankhon me ab itna bhi andhera na karo

    aah vo shok jawaani pe vo chanchal si hansee
    ghum hi ho jaaye na khamoshi me eysa na karo

    yaad guzre huve lamho ki bohot aayegi
    tum bhi sookhe huve zakhmon ko kureda na karo

    uski har baat ho jeyse ke fasaana koee
    tum jo maano to bahaano pe bharosaa na karo

    ungliyaan tum pe uthengi to tumhaari apni
    dil-e-bezaar ka baazaar me charcha na karo

    uski maasoom nigaahon me sawaal uthte hain
    usse tum kuch bhi chupaane ka iraadaa na karo

    abke tajdeed-e-wafa ka nahi imkaa`N "Safiya"
    khwaab dekha na karo khwaab dikhaya na karo

    { zulmat-e-shab = tyranny of night }
    {tajdeed-e-wafa= renewal of the contract of love}
    { imkaan = possibility }

    Aap sabhi ki aaraa ka intezaar rahega........................

    Safiya
    Naa mey shaam hooN, na sheher hooN
    mera roop ek dhokaa haiy
    mey vo raat hooN, jo theher gayee
    mey vo chaand hooN, jo dhundlaa haiy

  • #2
    Re: Khwaab dekha na karo....................

    Originally posted by Safiya

    Assalaam o alekum,

    waaah waaah bahooot khooob safiya g bahooot hi haseen khwaab share kiyaa aapnien lekin afsoos ke ek toota huaa khwaab khair bahoot umdeh kalaam humse share kiyaa aapnien umeed kerte hain aayindaa bhi aap apnien kalaam humse share kerti rehiengi dili daad qabool karien khush rahien

    yaad guzre huve lamho ki bohot aayegi
    tum bhi sookhe huve zakhmon ko kureda na karo

    abke tajdeed-e-wafa ka nahi imkaa`N "Safiya"
    khwaab dekha na karo khwaab dikhaya na karo

    bahooot hi khoooooob :clap:

    :tang: RISK IS MY BUSINESS

    DANGER IS MY GAME

    DONT PLAY WITH ME
    BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

    Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

    Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

    Comment

    • #3
      Re: Khwaab dekha na karo....................

      Originally posted by Safiya
      yaad guzre huve lamho ki bohot aayegi
      tum bhi sookhe huve zakhmon ko kureda na karo
      Safiya - aap bohat kam kam aati hain magar jab bhi aati hain bohat zabardast kalaam ley kar jalwa-gar hoti hain. Khawabon ki rudaad khoob biyaan ki hai aap ney, achha laga :) - ab zara baqaidgi sey aaya kijiye :)
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment

      • #4
        Re: Khwaab dekha na karo....................

        Originally posted by khurram_shaikh
        Assalaam o alekum,

        waaah waaah bahooot khooob safiya g bahooot hi haseen khwaab share kiyaa aapnien lekin afsoos ke ek toota huaa khwaab khair bahoot umdeh kalaam humse share kiyaa aapnien umeed kerte hain aayindaa bhi aap apnien kalaam humse share kerti rehiengi dili daad qabool karien khush rahien

        yaad guzre huve lamho ki bohot aayegi
        tum bhi sookhe huve zakhmon ko kureda na karo

        abke tajdeed-e-wafa ka nahi imkaa`N "Safiya"
        khwaab dekha na karo khwaab dikhaya na karo

        bahooot hi khoooooob :clap:

        Khurram sahab,

        Humesha ki tarah himmat afzaii me sab se pehle aap hi shirkat karteN haiN, Aap jeyse dost hi sabab haiN ki hum ye tukbandi karne ki himmat karte rehteN haiN. Bohot nawaazish aapki, itni ziyada taareef ke liye bohot bohot shukriya.

        Safiya...
        Naa mey shaam hooN, na sheher hooN
        mera roop ek dhokaa haiy
        mey vo raat hooN, jo theher gayee
        mey vo chaand hooN, jo dhundlaa haiy

        Comment

        • #5
          Re: Khwaab dekha na karo....................

          Originally posted by Masood
          Safiya - aap bohat kam kam aati hain magar jab bhi aati hain bohat zabardast kalaam ley kar jalwa-gar hoti hain. Khawabon ki rudaad khoob biyaan ki hai aap ney, achha laga :) - ab zara baqaidgi sey aaya kijiye :)
          Masood Sahab,

          Aadaab, aapki taareef ke hum laayak haiN ya nahi, ye to nahi pataa. haaN magar aapki shiqayat bajaa haiy,
          lekin kya kareN, aaj kal zindaghi masroofiyat ka doosra naam ban gayee haiy. hume khushi huvi ke aapko humaara ye toota huva khwaab achha lagha, baaqi hum koshish karenge ki aur ziyada shirqat kar sakeN.

          aapki mamnoon
          Safiya...
          Naa mey shaam hooN, na sheher hooN
          mera roop ek dhokaa haiy
          mey vo raat hooN, jo theher gayee
          mey vo chaand hooN, jo dhundlaa haiy

          Comment

          • #6
            Re: Khwaab dekha na karo....................

            Originally posted by Safiya
            zindaghi masroofiyat ka doosra naam ban gayee haiy
            Safiya ji zindagi to hai hi masroofiyat ka naam, har taraf chal so chal hai, gehma gehmi hai aur nafsa nafsi - waqt ki isi sitam zareefi sey bachney key liye hi to ham ney Pegham shuru kiya hai keh chand lamhey achhey log aik doosrey key paas kuchh achha waqt guzar lein :)
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment

            • #7
              Re: Khwaab dekha na karo....................

              Masood sahab

              Aapne bajaa farmaaya, yakeen maniye jeyse hi waqt milta haiy hum khud pc ke taraf dauRteN haiN, PEGHAM aur kuch aur shayri se talluk rakhne wale sites haiN inhi ka zaok kheench laataa haiy. Achhe dost aur achha kalaam dono hi humaari kamzori haiy, aur apna kalaam jo hum aap logoN ke saath share kar paateN hain, us baat ka to koee mol hi nahiN. Kabhi fursat ke bhi din huva karte the aur hum kaee kaee chakkar lagaate the ek hi din me Urdustan ke, ye baat 1999-2000 ki haiy.

              lekin ab to sirf yaadeN hi baaqi haiy, haaN magar koshish jaari haiy.

              Safiya...
              Naa mey shaam hooN, na sheher hooN
              mera roop ek dhokaa haiy
              mey vo raat hooN, jo theher gayee
              mey vo chaand hooN, jo dhundlaa haiy

              Comment

              • #8
                Re: Khwaab dekha na karo....................

                yaad guzre howe lamhoon ki bahut aae gi
                tum bhi sukhe howe zakhmon ko kureda na kero....
                jitni bhi tareff kero mujhe tu kam hi lage gi bahut hi beshakhta tarz hai aap ka ....

                Comment

                • #9
                  Re: Khwaab dekha na karo....................

                  Originally posted by Ambreen
                  yaad guzre howe lamhoon ki bahut aae gi
                  tum bhi sukhe howe zakhmon ko kureda na kero....
                  jitni bhi tareff kero mujhe tu kam hi lage gi bahut hi beshakhta tarz hai aap ka ....
                  Ambreen Saheba,:rose
                  Ye to aapki nawaazish bhari nazar haiy, varna hum kis laayak haiN.
                  Aap ko ghazal pasand aayee, likhne waale ko aur kya chahiye. Hum aapke shukrguzaar haiN ki aapne hume apni keemti raay se nawaaza.

                  aapki mamnoon
                  Safiya...
                  Naa mey shaam hooN, na sheher hooN
                  mera roop ek dhokaa haiy
                  mey vo raat hooN, jo theher gayee
                  mey vo chaand hooN, jo dhundlaa haiy

                  Comment

                  • #10
                    Re: Khwaab dekha na karo....................

                    safiya jee aap ki ye ghzal prh ky bohat acha laga...or main kuch sochny pr bhi majboor hogaya....aik bar main nay parha tha ''khvab daykhny ky liey hotey hain is main mgr ja kr raha na kroo''
                    or aap keh rahi hain kay khvab daykha hi na krooo:cc: .
                    ye kaya chkkr chal gaya hay plzz mujhy zroor batana.
                    H
                    @
                    $
                    $
                    N

                    Comment

                    Working...
                    X