Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Yadoon kay deep

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Yadoon kay deep

    Yadoun kay deep jo jela jatey hain
    Wo janey waley kia laut key bhee aatey hain?
    Na hotey hoye kisee rishtey kay bhee
    Ek unjaan Bendhan say henstoun ko rula jatay hain.


    Ishq chourta nahee kisee kam ka, pher bhee najaney kyon,
    Chaheny waley dou jism tou ek jaan ho jatey hain.

    Ghem chupaney key kousesh tou bahut kertey hain hum laeken,
    Ziker un ka chernay per, aansoo jo roudaad suna jatay hain.

    Kab tek jekrain gee yeh khandan-o-nesal key zengeerain ?
    Baat berhaney ko tou risthey insaneyat kay he kafee ho jatay hain.

    Keb say guzaar rahain hain gin gin her ek lemha,
    sunah hay apney kouchey key teraf aaj mehboob aatey hain.

    Furset naseeb hotee hay bamuradoun ko KHAKI
    Yeh bewafa, yadain he itnee chour jatey hain.

  • #2
    Re: Yadoon kay deep

    Kab tek jekrain gee yeh khandan-o-nesal ki zenjeerain ?
    Baat berhaney ko tou risthey insaneyat kay he kafee ho jatay hain.


    Faisal sub se pehlay aap ko PEGHAM NET ki traf se KHUSH AMDEED kehti hoon. Aap ki sari ghazal umdah hey,mugar ooper jo shairr mein ne quote kiya hey wo boht pasand aaya, waqaee insaniyat k rishtay ki pehchan hi kafi hoti hey mugar hum logon ne khandan,nasub aur rang o nasal ko apni shanakhti alamat bna liya hey.

    Aap ka shukriya ada karti hoon iss umeed k saath k aap aaindah bhi likhtay rahain gay aur humaray sath share kartay rahein gay.

    Comment


    • #3
      Re: Yadoon kay deep

      Ghem chupaney key kousesh tou bahut kertey hain hum laeken,
      Ziker un ka chernay per, aansoo jo roudaad suna jatay hain.



      ZABAR DAST jinaaab.....keep it up....
      Visit My Early PS Work
      You Are Welcome To Comment

      Comment

      Working...
      X