Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Achee Baat Nahee

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Achee Baat Nahee

    Nata na jourtay tou kuch aur baat thee
    Youn un ka tourena jour ker , achee baat nahee.

    Raha ho mehver terey kouchey kay jo sham-o-saher
    Aisay deewaney ko tera dedaar na hona , achee baat nahee.

    Waqt key heyra pheyree ney kia kia rang dikhlayey hum ko
    Youn nesheybee main un ka sath chour jana , achee baat nahee.

    Pehlee nezar main howa tha gireftar-e-mohabat yeh
    Youn dil-e-baykheta ka tout jana , achee baat nahee.

    Sheb-o-roaz jin kay jelway hotey they aankhoun main beraajeman
    Youn aeks kay perday say un ka ho ker guzer jana , achee baat nahee.

    Gin gin jo guzartay hain waqt-e-deedaar-e-yaar main lemha her ek
    Youn waqt ka phir theyher jana , achee baat nahee.

    Legta hay mazak sehnay key aadet nahee un ko werna
    Youn mehfil say un ka cheley jana , achee baat nahee.

    Bahut khefa rehtay hain, najaney kyon wo akser hum say
    Youn baat baat pay baatain sunana , achee baat nahee.

    Maloom hay kay ies dard key nahee miley gee ab devaa
    Youn phir ies ka dil main theyher jana , achee baat nahee.

    Choot tou bahut legee hay per doujay ghemoun kay leyey
    Youn duniya say rouht jana , achee baat nahee.

    Maloom na tha kay itnay nazuk mezaj hain hum
    Youn zikr pay un kay aankhoun ka num hona , achee baat nahee.

    Kuch they beemaree say nidhal tou kuch zekhmee sa tha dil bhee
    Youn na mezaj pursee ko un ka aana , achee baat nahee.

    Humaree haar nay bekhayree jo muskerahet un kay cheray per
    Youn haar kay jeet jana , achee baat nahee.

    Jeb say tum gayee ho setatee hain yaadain tumharee
    Youn mur ker kheber na laena , achee baat nahee.

    Mana kay ishq nakaam nahee apna laeken KAHKI
    Youn her baat main acha hona , achee baat nahee.

  • #2
    Re: Achee Baat Nahee

    Faisal aik bar aap phir shukriya ada karti hoon k aap ne aik achi kawish humaray sath share ki:rose .
    Aap ki iss ghazal mein 2 ash'har repeat kiye gaye thay wo mein ne delete kar diye hein.,

    Comment


    • #3
      Re: Achee Baat Nahee

      Assalaam o alekum,



      waaah waah bahooot khoob faisal sahib ek behtreen kavish humsab se share kernien kaa behud shukriya hum umeed kerte hain ayindaa bhi aapki tehreerien perhnien ko miliengi dili daad qabool karien khush rahien

      Bahut khefa rehtay hain, najaney kyon wo akser hum say
      Youn baat baat pay baatain sunana , achee baat nahee.

      Maloom hay kay ies dard key nahee miley gee ab devaa
      Youn phir ies ka dil main theyher jana , achee baat nahee
      :tang: RISK IS MY BUSINESS

      DANGER IS MY GAME

      DONT PLAY WITH ME
      BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

      Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

      Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

      Comment


      • #4
        Re: Achee Baat Nahee

        Originally posted by faisal314

        Waqt key heyra pheyree ney kia kia rang dikhlayey hum ko
        Youn nesheybee main un ka sath chour jana , achee baat nahee.

        Sheb-o-roaz jin kay jelway hotey they aankhoun main beraajeman
        Youn aeks kay perday say un ka ho ker guzer jana , achee baat nahee.

        Legta hay mazak sehnay key aadet nahee un ko werna
        Youn mehfil say un ka cheley jana , achee baat nahee.

        Bahut khefa rehtay hain, najaney kyon wo akser hum say
        Youn baat baat pay baatain sunana , achee baat nahee.

        Maloom hay kay ies dard key nahee miley gee ab devaa
        Youn phir ies ka dil main theyher jana , achee baat nahee.

        Choot tou bahut legee hay per doujay ghemoun kay leyey
        Youn duniya say rouht jana , achee baat nahee.

        Maloom na tha kay itnay nazuk mezaj hain hum
        Youn zikr pay un kay aankhoun ka num hona , achee baat nahee.


        Jeb say tum gayee ho setatee hain yaadain tumharee
        Youn mur ker kheber na laena , achee baat nahee.

        Mana kay ishq nakaam nahee apna laeken KAHKI
        Youn her baat main acha hona , achee baat nahee.

        Buhut hi acha likha hai ....... Thnx for sahring :)

        khush rahiyeh buhut :rose
        sigpic

        Comment

        Working...
        X