Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Intezar-e-yaar

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Intezar-e-yaar

    Acha leghta tha humhain Desht-e-intezar mian terpana jin ko
    Youn Jeldee un ka aana, ek maujeza sa ho geya tha.

    Ket na raheen theen gheryaan jo intezar-e-yaar main
    Lemha koi teher kay manind-e-sedee sa ho geya tha.

    Mebhout khera tha main, nezrain teher see gayeen theen
    Jelwa-e-husn main un kay kuch zaida he khou geya tha.

    Ber rahey they humaree janeb wo dheeray dheeray say jo
    Muterenam chal say un key dil ek neghma sa ho geya tha.

    Ejeb haal-e-dil tha, kay khetka sa ek legha tha
    Baad-e-mulaqat yeh kuch pursakoon sa ho geya tha.

    Tha un ka aana, ya aamed-e-behar thee
    Jezbaat kay gulshen main gul ek naeya sa khil gaeya tha.

    Sembhaal na sekay hum tekraoo-e-nazar pay khud ko
    Gehraeyoun main un key aankhoun ke main girta chela geya tha.

    Kuch youn chupa na sakay they wo bhee haal-e-dil ko
    Kay ek rang sa un kay cheray per aa kay guzer geya tha.

    Gung hoi youn zoubaan thee kay kuch kehnay say kasir hum
    Bus dekhnay main un ko ek ersa sa guzer geya tha.

    Pass aa rukay tou kuch housh sa aaya hum ko
    Haerat-o-sektay key wadee say main kuch nikel sa geya tha.

    Youn rounuma hotay maujezaat nay bedal dalee thee souch jo
    Tedbeer key batoon wala, tekdeer key pehloo main tik sa geya tha.

    Wadeyeh dil main kuch ejeb sa tha menzar ab
    Ehsaas-e-kurbet say un kay dil bagh bagh sa ho geya tha.

    Youn tebdeelee pay apnee sebhee dost they haeraan KHAKI
    Chaha jo youn kisee ko hota tou, pouchthey na yeh kaisay ho geya tha.

  • #2
    Re: Intezar-e-yaar

    Again aik achi ghazal share karnay k liye shukriya.:rose :rose :rose :rose

    Comment

    Working...
    X