Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Use Khud se bichaR Jaane ka dhukh~ hai

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Use Khud se bichaR Jaane ka dhukh~ hai

    Aadaab dostooN:

    is meHfil meN yeh meree pahlee post hai. aap ke liye apnii ek Ghazal lekar Haazir hoovii hooN. umeed hai keh pazeerahii kareNge apnee aaraa se.

    mamnoon

    Zahida Raees :Raji:



    Ghazal:
    ~~~~

    1. chaleiN zindagi ke niSabooN kee baateN
    Ghalat ho gaheeN sab kitaabooN kee baateN



    2. ghaRee do ghaRee thee gulabooN kee baateN
    raheeN u'mr bhar phir azaabooN kee baateN



    3. suneeN tum ne saare HisaabooN kee baateN
    chipee reh ga,eeN be-HisaabooN kee baateN



    4. bohat soch kar yeh kahaa thaa kisee ne!
    karo har kisee se nah KhwabooN kee baateN



    5. vohii ek takraar thee zindagi meN
    sawalooN kee baateN jawabooN kee baateN



    6. hameN "aagahii", "zindagi" se milee hai
    sikh~aaho nah ham ko kitabooN kee baateN



    7. Ghazal meN miri, mil nah paa,eeNgii tum ko
    :shababooN: kee baateN, :sharabooN: kee baateN



    8. ghareebana dil kee hai saadaa mizaaji
    kareN ham bhalaa kyaa nawaabooN kee baateN



    9. Hayaa, be-Hayaayii, meN kyaa farq samjheN
    naheeN jaante jo :HijaabooN: kee baateN



    10. gunahooN kee lazzat se manoos the jo
    kahaaN kar sake voh cawaabooN kee baateN



    11. Haqaa,iq ka chehrah judaa saa lage gaa
    bayaaN gar hooN :Raji: naqaabaoN kii baateN


    ( Zahida Raees :Raji: )
    Last edited by Raji; 19 June 2006, 12:15.

  • #2
    Re: Use Khud se bichaR Jaane ka dhukh~ hai

    MashaAllah - Raji aap ney is mehfil mein pehli baar shirkat ki hai aur kya shirkat hai! Intihaee umdah aur nafees kalaam pesh kiya hai aap ney keh dil khush ho geya (udaas kalaam perh ker dil khush ho geya ) - Nahin dil is liye khush huwa hai keh hamarey darmiyaan aik umdah zoq aur soch rakhney wali shairah ka izafa huwa hai - jissey ham teh-e-dil sey khush aamdeed kehtey hain aur umeed kartey hain keh aaindah bhi aisa kalam parhney koi miley ga

    Masood
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #3
      Re: Use Khud se bichaR Jaane ka dhukh~ hai

      Originally posted by Masood
      MashaAllah - Raji aap ney is mehfil mein pehli baar shirkat ki hai aur kya shirkat hai! Intihaee umdah aur nafees kalaam pesh kiya hai aap ney keh dil khush ho geya (udaas kalaam perh ker dil khush ho geya ) - Nahin dil is liye khush huwa hai keh hamarey darmiyaan aik umdah zoq aur soch rakhney wali shairah ka izafa huwa hai - jissey ham teh-e-dil sey khush aamdeed kehtey hain aur umeed kartey hain keh aaindah bhi aisa kalam parhney koi miley ga

      Masood

      Janab-e-Masood SaaHeb:

      PurKhulooS tasleemaat,

      meHfil meN Khush-aamdeed kehne ke liye dil kee gehrahiyoN se aap kee shukrguzaar hooN.

      aap ko meree yeh koshish pasand aaYii is meHfil meN post karne ka Haq adaa ho gayaa.

      HoSlah-afzaii aur bharpoor pazeerahii ke liye aap ka shukriyah adaa kartee hooN.

      umeed kartee hooN keh aahindah bhi youNhii HoSlah-afzaii karte raheNge

      wassalam

      Zahida Raees :Raji:

      p.s:. PM mere paas accessable naheeN hai.

      Comment


      • #4
        Re: Use Khud se bichaR Jaane ka dhukh~ hai

        Zahida ji
        aap ko yahan dekh k bohot khoshi hoie or bohot dino k bad aap ka khobsorat kalam parrhnay ko mila hay......... u r the 3rd one to whom i knw already b4 this forum and i knw how much good u write masha Allah.
        aap ki ghazal hasb e mamool bohot bohot pasand aaie
        regards
        uzma

        Comment


        • #5
          Re: Use Khud se bichaR Jaane ka dhukh~ hai

          Originally posted by gazal_uzma
          Zahida ji
          aap ko yahan dekh k bohot khoshi hoie or bohot dino k bad aap ka khobsorat kalam parrhnay ko mila hay......... u r the 3rd one to whom i knw already b4 this forum and i knw how much good u write masha Allah.
          aap ki ghazal hasb e mamool bohot bohot pasand aaie
          regards
          uzma

          Azeezah Uzma Behn:
          Aadaab,


          umeed az mizaaj baKhair :)
          is meHfil meN mujhe bhi aap ko dekh kar be-Had Khushii hoovii keh chaleN nayee jagah par jaan pehchaan ke log hooN tu tassalii ho jaatee hai keh yahaN ham tanhaa naheeN heN :)

          aap ne hameshah kee taraH se meree is koshish ko bhi pasand farmaYaa hai iske liye aap kee bohat shukriguzaar hoN.
          umeed kartee hooN keh ab is meHfil meN aap se mulaqaat hotee rahegii.

          aap kee muKhliS
          Zahida Raees :Raji:

          P.S. aap kee Khwahish par maiN ne www.abdulwasey.com par apnii tazaa Ghazal post kar dee hai.

          Comment


          • #6
            Re: Use Khud se bichaR Jaane ka dhukh~ hai

            Zahida ji
            bilkul sahi farmaya aap nay k ajnabiyat ka ahsas zara kam ho jata hay
            aap k kalam ki tu main hamaisha say hi garweeda rahi hon but afsos main ub us forum pay aap ka kalam nahi parrh sakon gi as scuh couch wajoohat ki bina pay i left tht forum almost.
            main aap ko us hawalay say PM kar k batana chah rahi thi but unfortunatily idhar PM ki saholat 101 posts score karnay say pehlay available nahi hay.
            i hope k idhar main aap k mazeed kalam say mustafeed o mehzoz hoti rahon gi insha Allah.
            regards
            uzma

            Comment

            Working...
            X