Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ajnabi kab tak rahega..........ek ghazal

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Ajnabi kab tak rahega..........ek ghazal

    Aadaab dostoN,

    Aaap sabhi ko humaara pyaar bhara salaam, aaj pehli baar is bazm me ek ghazal aap sabhi ki khidmat me pesh kar raheN haiN, umeed haiy ki aap hausla-afzaaii zaroor karenge. ye ek poorani ghazal haiy, pesh-e-khidmat.............


    :love: :love: :love:

    Ajnabi kab tak rahega, hoke mera aayega
    beqaraari lootne ko..... ek lootera aayega

    :rose
    tab khilega phool bankar ye mera ghunchah bada
    aye naseeme subh mujh par.... jab savera aayega

    :rose
    roshni, khusboo, bahaaroN ke nazaare har taraf
    mere aNgan me bhi mausam ek sunehra aayega


    :rose
    Isliye seekha tha chalna meyne aankhen mooch kar
    mujhko andaaza tha raahoN me andhera aayega

    :rose
    raat ka din me badalna laazim-o-malzoom haiy
    Aayega "Safiya" yakeenan ek savera aayega

    :love::love::love:
    Safiya
    Naa mey shaam hooN, na sheher hooN
    mera roop ek dhokaa haiy
    mey vo raat hooN, jo theher gayee
    mey vo chaand hooN, jo dhundlaa haiy

  • #2
    Re: Ajnabi kab tak rahega..........ek ghazal

    W salaam,



    waaaah waaaah bahooot khoob safiya sahiba bahoot khoob pehli baar aapki koee likhi kavish perhnien kaa sarf huaa bahoot achchaa aur umdeh likhaa hai aapnien waise to sari kavish hi umdeh aur zabardast hai lekin humien yeh chand ashaar behud pasand aaye shukriya humse share kernien kaa DILI DAAD Qabool karien :rose :rose aayindaa bhi aapke kalaam kaa intezaar rahega khush rahien


    roshni, khusboo, bahaaroN ke nazaare har taraf
    mere aNgan me bhi mausam ek sunehra aayega


    Isliye seekha tha chalna meyne aankhen mooch kar
    mujhko andaaza tha raahoN me andhera aayega
    :tang: RISK IS MY BUSINESS

    DANGER IS MY GAME

    DONT PLAY WITH ME
    BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

    Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

    Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

    Comment


    • #3
      Re: Ajnabi kab tak rahega..........ek ghazal

      Khurram sahab,

      Bohot bohot shukriya, aapne itni hausla-afzaaii ki, hum aapke tah-e-dil se mamnoon haiN. chand ashaar ko itna ziyada pasand farmaane ke liye bhi hum aapke mashkoor haiN. ek baar phir shukriya

      Safiya
      Naa mey shaam hooN, na sheher hooN
      mera roop ek dhokaa haiy
      mey vo raat hooN, jo theher gayee
      mey vo chaand hooN, jo dhundlaa haiy

      Comment


      • #4
        Re: Ajnabi kab tak rahega..........ek ghazal

        Safiya aap ne boht umdah aur khoobsoorat ghazal likhi hey, yehan par share karnay k liye be hadd shukriya:rose :rose :rose . Aaindah bhi likhti rahiye ga.

        Comment


        • #5
          Re: Ajnabi kab tak rahega..........ek ghazal

          Muskaan saheba

          Aapka bhi bohot bohot shukriya ke aapna apna keemti waqt nikaal ke ghazal ko saraaha, aap logoN se isi tarah hausla-afzaaii milti rahi to zaroor likhte rahenge.....

          shukriya

          Safiya...
          Naa mey shaam hooN, na sheher hooN
          mera roop ek dhokaa haiy
          mey vo raat hooN, jo theher gayee
          mey vo chaand hooN, jo dhundlaa haiy

          Comment


          • #6
            Re: Ajnabi kab tak rahega..........ek ghazal

            Originally posted by Safiya
            Isliye seekha tha chalna meyne aankhen mooch kar
            mujhko andaaza tha raahoN me andhera aayega


            raat ka din me badalna laazim-o-malzoom haiy
            Aayega "Safiya" yakeenan ek savera aayega

            Bohat umdaah! Bohat khoobsurat alfaaz hai Safiya :rose :rose
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #7
              Re: Ajnabi kab tak rahega..........ek ghazal

              Masood sahab,

              tasleemaat, baRi nawaazish aapki.

              taareef ke liye bohot bohot shukriya,

              aapki mamnoon
              SAFIYA
              Naa mey shaam hooN, na sheher hooN
              mera roop ek dhokaa haiy
              mey vo raat hooN, jo theher gayee
              mey vo chaand hooN, jo dhundlaa haiy

              Comment


              • #8
                Re: Ajnabi kab tak rahega..........ek ghazal

                Originally posted by Safiya
                Masood sahab,

                tasleemaat, baRi nawaazish aapki.

                taareef ke liye bohot bohot shukriya,

                aapki mamnoon
                SAFIYA
                Is tarha haseen takhleeq par aik kaam to aap ney khud ghalat kar diya hai aur woh yeh keh hamein aap ki mazeed takhleeq ka intizaar rahey ga :maan: please do keep writing :rose
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment

                Working...
                X