meri maan
Ye dur bhari ik ah he
Jo durde dill ke sath he
Main os ke dill se thi bekhaber
Ose muj se kitna peyar he
Main samajti thi koch is qader
Wo muj se koch bezar he
Muje jis se rahat na mill sake
Meri rah ki wo khar he
Main samajti thi wo dor he
Lekin wo mere pass he
Main bhatuk gai nadani main
Na samaj saki kia raz he
Hosh aya jub to pata chala
Godd os ki sucha peyar he
Mera durd os se chopa nahi
Wo her jagha mere sath he
Tunhai ki sathi he wo
Meri her khoshi main shomar he
Meri roh ki tusken he
Mere honton ki fureyad he
Ankh os ki ka main nor hon
Mere dill ki ye awaz he
Main gir pari jis rah per
Os rah per wo nisar he
Main samujti thi wo dorr he
Lekin wo mere pass he
Main samuj gai main samuj gai
To hi ann meri shan he
Meri maan to mere sath he
Meri maan to mere pass he
Comment