Assalam o Alaikum..
Gul o nargis o sosan o nastran
Shahed-e-azal lalah khunin kafan
Jahan chhup geya pardah-a rang mein
Lahu ki hay gardish rag-e-sang mein
Fiza nili nili, hawa mein suroor
Teherte nahin aashiyan mein taiyur
Woh ju-a kohistan uchakti hu-e
Atakti, lachakti, sirakti hu-e
Uchhalti, phisalti, sanbhalti hu-e
Bare pech kha kar nikalti hu-e
Ruke jab tto sil chir deti hay yeh
Paharon ke dil chir deti hay yeh
Zara dekh ay saqiye lalah faam!
Sunati hay yeh zindagi ka piyan
Pila de mujhe woh mai-a pardah-soz
Keh aati nahi fasle gul roz roz
Woh mai jis se roshan zamir-e-hayat
Woh mai jis se hay mastiye kainaat
Woh mai jis mein hay soz o saaze azal
Woh mai jis se khulta hay raaz-e-azal
Uttha saqiya pardah iis raaz se
Lara de mamole ko shahbaz se
Zamane ke andaaz badle ga-a
Neya raag hay, saaz badle ga-a
Huwa iis tarah faash raze farang
Keh hairat mein hay shishah baze farnag
Purani siyasat-gari Khwaar hay
Zamin mir o sultan se bezaar hay
Geya daor sarmayah-daari geya
Tamashah dikha kar madari geya
Garan khoob chini sanbhalne lage
Hamalah ke chashmen ubalne lage
Sharabe kohan phir pila saqiya
Wohi jaam gardish mein la saqiya
Mujhe ishq ke par laga kar urra
Miri khaak jugnu bana kar urra
Khird ko ghulami se aazad kar
Jawanon ko piron ka ustad kar
Hari shaakhe millat tire nam se hay
Nafas iis badan mein tire dam se hay
Tarapne phurakne ki taofiq de
Dile murtza sooz-e-siddiq de
Jigar se wohi tir phir paar kar
Tamanna ko sinon mein bedaar kar
Tire aasmanon ke taron ki khair
Zaminon ke shab zindah-daron ki khair
Jawanon ko soz-e-jigar bakhsh de
Mira ishq, meri nazar bakhsh de
Miri na-o gardaab se paar kar
Yeh sabit hay ttu iis ko saiyar kar
Bata mujh ko israare margo hayat
Keh teri nigahon mein hay kainaat
Mire dida-tar ki be-khwaabiyan
Mire dil ki poshidah betabiyan
Mire naalah-a nim-shabb ka niyaaz
Miri khalwat o anjuman ka gudaaz
Yahi kuchh hay saqi matae faqir
Iis se faqiri mein hoon mein ameer
Samajhta hay ttu, raaz hay zindagi
Faqat zoq-e-parwaaz hay zindagi
Bohot iis ne dekhe hein past-o-buland
Safar iis ko manzil se barr kar pasand
Ulajh kar sulajhne mein lazzat iise
Tarapne phurakne mein rahat iise
Huwa jab iise saamna maot ka
Kathan tha bara thaamna maot ka
Utar kar jahane makafaat mein
Rahi zindagi maot ki ghaat mein
Saqi Naamah (Allamah Iqbal)
Huwa khemah-zan karwane bahaar
Iram ban geya damne kohosaar
Huwa khemah-zan karwane bahaar
Iram ban geya damne kohosaar
Gul o nargis o sosan o nastran
Shahed-e-azal lalah khunin kafan
Jahan chhup geya pardah-a rang mein
Lahu ki hay gardish rag-e-sang mein
Fiza nili nili, hawa mein suroor
Teherte nahin aashiyan mein taiyur
Woh ju-a kohistan uchakti hu-e
Atakti, lachakti, sirakti hu-e
Uchhalti, phisalti, sanbhalti hu-e
Bare pech kha kar nikalti hu-e
Ruke jab tto sil chir deti hay yeh
Paharon ke dil chir deti hay yeh
Zara dekh ay saqiye lalah faam!
Sunati hay yeh zindagi ka piyan
Pila de mujhe woh mai-a pardah-soz
Keh aati nahi fasle gul roz roz
Woh mai jis se roshan zamir-e-hayat
Woh mai jis se hay mastiye kainaat
Woh mai jis mein hay soz o saaze azal
Woh mai jis se khulta hay raaz-e-azal
Uttha saqiya pardah iis raaz se
Lara de mamole ko shahbaz se
Zamane ke andaaz badle ga-a
Neya raag hay, saaz badle ga-a
Huwa iis tarah faash raze farang
Keh hairat mein hay shishah baze farnag
Purani siyasat-gari Khwaar hay
Zamin mir o sultan se bezaar hay
Geya daor sarmayah-daari geya
Tamashah dikha kar madari geya
Garan khoob chini sanbhalne lage
Hamalah ke chashmen ubalne lage
Sharabe kohan phir pila saqiya
Wohi jaam gardish mein la saqiya
Mujhe ishq ke par laga kar urra
Miri khaak jugnu bana kar urra
Khird ko ghulami se aazad kar
Jawanon ko piron ka ustad kar
Hari shaakhe millat tire nam se hay
Nafas iis badan mein tire dam se hay
Tarapne phurakne ki taofiq de
Dile murtza sooz-e-siddiq de
Jigar se wohi tir phir paar kar
Tamanna ko sinon mein bedaar kar
Tire aasmanon ke taron ki khair
Zaminon ke shab zindah-daron ki khair
Jawanon ko soz-e-jigar bakhsh de
Mira ishq, meri nazar bakhsh de
Miri na-o gardaab se paar kar
Yeh sabit hay ttu iis ko saiyar kar
Bata mujh ko israare margo hayat
Keh teri nigahon mein hay kainaat
Mire dida-tar ki be-khwaabiyan
Mire dil ki poshidah betabiyan
Mire naalah-a nim-shabb ka niyaaz
Miri khalwat o anjuman ka gudaaz
Yahi kuchh hay saqi matae faqir
Iis se faqiri mein hoon mein ameer
Samajhta hay ttu, raaz hay zindagi
Faqat zoq-e-parwaaz hay zindagi
Bohot iis ne dekhe hein past-o-buland
Safar iis ko manzil se barr kar pasand
Ulajh kar sulajhne mein lazzat iise
Tarapne phurakne mein rahat iise
Huwa jab iise saamna maot ka
Kathan tha bara thaamna maot ka
Utar kar jahane makafaat mein
Rahi zindagi maot ki ghaat mein
Comment