Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ashaar jin meiN lafz ►RAAT/SHAB◄ ho

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Ashaar jin meiN lafz ►RAAT/SHAB◄ ho

    muhabbat mein vafaadaarii se bachiye
    jahaan tak ho adaakaarii se bachiye

    binaa pairoun ke sar chalate nahiin hain
    buzurgoun kii samajhadaarii se bachiye


    Comment


    • #17
      Re: Ashaar jin meiN lafz ►RAAT/SHAB◄ ho

      s ahad mein ilaahii mohabbat ko kyaa huaa
      chhodaa vafaa ko unne muravvat ko kyaa huaa

      jaataa hai yaar teg bakaf gair kii taraf
      ae kushtaa-e-sitam terii gairat ko kyaa huaa


      Comment


      • #18
        Re: Ashaar jin meiN lafz ►RAAT/SHAB◄ ho

        Meray saathi
        meri yeh rooh meray jism se
        parvaz ker jaye tu lot aana
        meri bekhawab raaton k
        azabon k sisakte shehar mein
        tum bhi zara si dair ko rukna
        meray benoor honton ki
        duaon per
        apni sard peshani ka
        pathar rekh ker ro dena
        bass itni si baat keh dena
        mujhe tum se mohabbat hai


        Comment


        • #19
          Re: Ashaar jin meiN lafz ►RAAT/SHAB◄ ho

          Azal say taa abad janaan~
          Falaq k chaand taaroun say
          meri dharti k zarroun say, pahaarhoun ki bulandi say
          saba ki shaukhiyoun say or phooloun ki malahat say
          tapish khursheed ki or chaand ki roo pehli kirnoun say...
          ufaq ki wusatoun or neelgoon gehrey samandar say
          kaheen ziaadaa....
          kaheenn barh karr...
          MUJHAY TUM SAY MUHABBAT HAY~!!


          Comment


          • #20
            Re: Ashaar jin meiN lafz ►RAAT/SHAB◄ ho

            muhabat tark ki main ne,garebaan si liya main ne
            zamaane ab to khush ho zehar yeh bhi pi liya main ne
            abhi zinda hoon lekin sochata rehta hoon khalwat main
            ke ab tak kis tamana ke sahaare ji liya main ne


            Comment


            • #21
              Re: Ashaar jin meiN lafz ►RAAT/SHAB◄ ho

              woh kaheen bhi gaya lota to mere paas aaya
              bas yahi baat hai achhi mere harjaai ki
              tera pehlu,tere dil ki tarah aabaad rahe
              tujh pe guzre na qayaamat shab_e_TANHAAI ki


              Comment


              • #22
                Re: Ashaar jin meiN lafz ►RAAT/SHAB◄ ho

                zulmat_kade mai mere shab-e-Gam kaa josh hai
                ik shammaa hai daliil-e-sahar, so Khamosh hai


                Comment


                • #23
                  Re: Ashaar jin meiN lafz ►RAAT/SHAB◄ ho

                  tanha tanha kisi se tanhaiyon mein mohabbat kiye jata hai,
                  jawani ki dehleez par kya shakhs dilon ke raaj bayan kar pata hai !


                  Comment


                  • #24
                    Re: Ashaar jin meiN lafz ►RAAT/SHAB◄ ho

                    Tanhai k Lamhon mein aker
                    ik roz amar mujhay bus ker jaoo
                    meri aankhein zinda rehnay do
                    meray khawab mujhay bus day jaoo
                    jis din say juda hoon mein tum say
                    bas khoya khoya rehta hoon
                    meri yadein sooni sooni hain
                    meri yadein mujhay bus day jaoo
                    meri aankhon ko ab aadat hay
                    aainay jesay chehray ki
                    mujhay jeenay ka haq bus day jaoo
                    meray khawab mujhay bus day jaoo
                    meray paas gharonday toot gay
                    khawab main khilonay kia bechoon
                    tum aur koi dunya dhoondo
                    meray khawab mujhay bus day jaoo
                    meray khawab jo tum nay cheen liay
                    wo khawab mera sarmaya thay
                    mera sab kuch le lo mujh say tum
                    meray khawab mujhay bus day jaoo


                    Comment


                    • #25
                      Re: Ashaar jin meiN lafz ►RAAT/SHAB◄ ho

                      shub ki tanhaii mein ab to aksar
                      guftagoo tujh say raha kerti hay
                      dil ko us raa per chalna hee nahey
                      jo mujhy tujh say juda kerti hay!!


                      Comment


                      • #26
                        Re: Ashaar jin meiN lafz ►RAAT/SHAB◄ ho

                        Shehar.e.Mohabat, Hijar ka mosam, Ehad.e.wafa or main
                        Too to is basti se khush khush chala gya or main???
                        To jo na ho to sab ko jesy chhup lag jati hai
                        Aaps mn kia batten krty Rat, Dia or Main


                        Comment


                        • #27
                          Re: Ashaar jin meiN lafz ►RAAT/SHAB◄ ho

                          us ne kaha mujh se tumhen kitna pyar he
                          mean ne kaha sitaroon ka koi shumar he

                          us ne kaha k kon he tum ko bohat aziz
                          mean ne kaha k dil pe jisay ikhtiyar he

                          us ne kaha k kn sa tohfa he mun pasand
                          mean ne kaha wo shaam jo ab tak udhar he

                          us ne kaha khizaan mean mulaqat ka jawaz
                          mean ne kaha k qurb ka matlab bahar he

                          us ne kaha hazar ha ghum zindagi mean hen
                          mean ne kaha ke ghum nahi jum GHUM GUSAR he

                          us ne kaha k mujh ko yaqeen ay kis tarha
                          mean ne kaha k nam mera EATBAR HE


                          Comment


                          • #28
                            Re: Ashaar jin meiN lafz ►RAAT/SHAB◄ ho

                            Dasht.e.Tanhai mn, A Jan.e. Jahan Larzan hn
                            Teri Awaz k saey, tery honton k sarab
                            Dast.e.Tanhai mn, Doori k khas.o.khak taly
                            khil rahy hn tery pehloo k saman or gulab

                            Oth rahi hai kahin qurbat se teri sans ki anch
                            apni khushboo se sulgati hui madham madham
                            door ofaq par chamkti hui, qatra qatra
                            gir rahi hai Teri Dildar Nazar ki shabnam

                            is qadar pyar se, a Jan.e.Jahn rakha hai
                            Dil k rukhsar p is waqt teri yad ne hath
                            youn guman hota hai, garchy hai abhi sobhe.e.faraq
                            dhal gya hijar ka din, a bi gai Wasal ki rat


                            Comment


                            • #29
                              Re: Ashaar jin meiN lafz ►RAAT/SHAB◄ ho

                              tanhaii mein ab to aksar
                              teri yaad kay taanay baanay
                              bunana apna kaam howa hay
                              aksar aisay hota hay
                              taana teri zulf mein uljha
                              bana teri gaal kay til per
                              aa ker ruk sa jata hay
                              zid si kernay lagta hay
                              aankhoon kay kajal tak aa ker
                              taanay baany ki ye door
                              aksar uljh kay reh jati hay
                              phir mein is gunjal ko younhi
                              suljhanay ki koshish mein
                              khud bhee uljh kay reh jata houn
                              majboori ki is halat mein
                              ye dukh bhee seh jata houn
                              chup ho ker reh jata houn


                              Comment


                              • #30
                                Re: Ashaar jin meiN lafz ►RAAT/SHAB◄ ho

                                main tuu zindagi aisi tanha guzar raha hoon
                                kay apnay hi saaye koo aaag lagaa raha hoon
                                kiyoonkay yeh chalta hai meray saath saath
                                iss ko hatem karkay apni tanhai barha raha hoon


                                Comment

                                Working...
                                X