Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

(pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

    zindagi se ye gilaa hai mujhey
    tu bohat dair se mila hai mujhey
    tu mohabbat se koi chaal to chal
    haar jaaney ka hosla hai mujhey


    Comment


    • Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

      teri Hayaat ka hr lamHa shaadmaN guzre
      bahar sajda kare tu jahaN jahaN guzre


      Comment


      • Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

        Ujaale apni yaadoon ke humaarey saath rehne do
        Na jaane kiss gali mein zindagi ki shaam ho jay


        Comment


        • Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

          manSoob the jo log meri zindagi k sath
          aksar wohi mile hain baRi be rukhi k sath


          Comment


          • Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

            zindagii tujh ko manaane nikale
            ham bhii kis darjaa diivaane nikale
            Ameer Kazalbash


            Comment


            • Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

              MaiN apanii zaat meN niilaam ho rahaa huuN ‘Qateel’
              Gham-e-hayaat se kah do Khariid laaye mujhe


              Comment


              • Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                tOo dhOondtii hAi Ab Kisey Aey Shaam e Zindagii
                wO Din tO Kharch hO Gaye Gham Key Hisaab meiN


                Comment


                • Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                  Na tujh pay jafa ka koi ilzaam
                  Ma maiN apni ulfat pay sharamsaar
                  Tagaful na peshaymaani na koi shiqayat
                  Bus zindagi ko dekha apnay apnay andaz say humnay


                  Comment


                  • Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                    wO Aik Baar Marey Jin kO Tha Hayaat Sey Pyaar
                    jO Zindagii Sey gUraizaaN They rOz Martey Rahey


                    Comment


                    • Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                      main to ab uktaa gayaa huun kyaa yahii hai qaayanaat
                      bas ye aa_iinaa haTaa de zindagii ai zindagii
                      Zaka Siddiqui


                      Comment


                      • Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                        ishq baqaa-e-rooh hai, ishq ghizaa-e-rooh hai
                        yah jo nahiiN to dahar meN, lutf-e-hayaat hi nahiiN

                        ''Munavvar'' lukhnavi


                        Comment


                        • Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                          Meri Zindagii Bhe Meri Nhe Yeh Hazar KhanOun Mein Batt Gaii
                          mUjhey Eik mUthii Zameen They Yeh Zameen Kitni Simat Gaii
                          Teri Yaad Aaye To Chup RhOn Zara Chup Rhon To Ghazal khOn
                          Yeh Ajeeb Aag Kii Bail Thii Meray Tan Badan Sey Lipat Gaii


                          Comment


                          • Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                            na zindagi ka mukhalif na zindagi ki tarah
                            tera mizaj bhi hay beesaween sadi ki tarah


                            Comment


                            • Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                              hUm Sey Kya POochtey hO ZinDagii Key Baarey Mein
                              AjnAbii Kya Jaanta hAi AjnAbii Key Baarey Mein


                              Comment


                              • Re: (pErIsh_Boy) Ashaar jin meiN lafz ► ZINDAGI/ HAYAAT ◄ ho

                                hans hans ke jee raha hon gum zindahi ke sath
                                tu hosla to dekh mera bebasi ke sath
                                sawar alam raz sarwar


                                Comment

                                Working...
                                X