Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ashaar collection Aankhain by Aanchal

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Ashaar collection Aankhain by Aanchal

    Dil Ki Baatein Bata Deti Hain, Aankhein
    Dharkano Ko Jaga Deti Hain, Aankhein

    Dil Pe Chalta Nahi Jadoo, Chehraun Ka Kabhi
    Dil Ko To Deewana Bana Deti Hain, Aankhein

    Woh Hum Se Baat Nahi Karte, To Na Karein
    Haal Sara Unke Dil Ka Suna Deti Hain, Aankhein

    Gham Sada Rehta Nahi, Aadmi Ke Saath
    Ashk Bana Kar Chalka Deti Hain, Aankhein

    Aata Hai Jab Dor-E-Jawani, To Ae-Dosto
    Sunder Sapne Zehan Mein Basa Deti Hain, Aankhein

    Mana Ke Neend Aati Hai, Aankhon Hi Ke Raaste
    Magar Kabhi Kabaar Neend Bhi Uraa Deti Hain, Aankhein
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment


    • #32
      Re: Ashaar collection Aankhain by Aanchal

      Yu toh khamosh hi rehti he aankhein
      agar samajh sako to bahut kuch kehti hai aankhein

      kaun kehta hai ki roti hai aankhein?
      rota to dil hai magar kehti hai aankhein...!!!
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment


      • #33
        Re: Ashaar collection Aankhain by Aanchal

        Meri 'Chahat' Ka Is Tarhan Mazaq Na Bana,
        Ke Teri "Ankhain" Hi Taras Jayn Mujy Dekhany Ke Liay..!
        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

        Comment


        • #34
          Re: Ashaar collection Aankhain by Aanchal

          Kayi Zulm Bhare Raaz Chupaatin Hain Yeh Aankhein
          Aiina Dekh Kar Khud Se Dar Jaatin Hain Yeh Aankhein

          Shayd Suna Ho Inki Araaish Ka, Toote Sapnon Se Sanwarti Hain
          Bheege Aansuon Se Khud Ko Sajaatin Hain Yeh Aankhein

          Yun Kahin Dikh Na Jaaye Kitna Dard Basaa Hai Inmein
          Har Ek Se Nazrein Churaatin Hain Yeh Aankhein

          Yeh Tamanna Rehti Hai Dil Mein K Woh Laut Aayenge
          Rasta Tak Tak Kar Khud Ko Behlaatin Hain Yeh Aankhein

          Badnaam Ho Gayin Yeh Unki Dewaangi Mein Kho Kar, Par
          Unki Khaatir Har Bughz Nigaah Seh Jaati Hain Yeh Aankhein

          Woh Nahi Aaya, Khokar Usse Jaane Kaise Yeh Jee Leti Hain
          Aakhir Bandh Kyon Nahin Ho Jaatin Warda Teri Yeh Aankhein
          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

          Comment


          • #35
            Re: Ashaar collection Aankhain by Aanchal

            Dil Ki Baatein Bata Deti Hain, Aankhein
            Dharkano Ko Jaga Deti Hain, Aankhein

            Dil Pe Chalta Nahi Jadoo, Chehraun Ka Kabhi
            Dil Ko To Deewana Bana Deti Hain, Aankhein

            Woh Hum Se Baat Nahi Karte, To Na Karein
            Haal Sara Unke Dil Ka Suna Deti Hain, Aankhein

            Gham Sada Rehta Nahi, Aadmi Ke Saath
            Ashk Bana Kar Chalka Deti Hain, Aankhein

            Aata Hai Jab Dor-E-Jawani, To Ae-Dosto
            Sunder Sapne Zehan Mein Basa Deti Hain, Aankhein

            Mana Ke Neend Aati Hai, Aankhon Hi Ke Raaste
            Magar Kabhi Kabaar Neend Bhi Uraa Deti Hain, Aankhein

            Shukar Hai Rab Ne Ata Ki, Aankhon Ki Neamat
            Humaare Dard-O-Gham Saare Dil Ke, Chupa Deti Hain Aankhein
            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

            Comment


            • #36
              Re: Ashaar collection Aankhain by Aanchal

              Sari raat ki jaagi aankhein,
              College mein kiya parrhti hon gi,
              Yunhi khoye, dil hi dil mein,
              Jaanay kiya kiya karti hon gi,
              Sari raat ki jaagi aankhen,
              Koi bolay, kaan na dharna,
              Koi hillay to ek dam darna,
              Koi daikhe in ka barhna,
              Apne aap say larti hon gi,
              Sari raat ki jagi aankhein,
              Apni kitaabein phartey rehna,
              Us ki baaten kartey rehna,
              Us ki yaadein ghartey rehna,
              Jeetay jeetay marti hon gi,
              Sari raat ki jagi aankhein,
              College mein kiya parrhti hon gi..
              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

              Comment


              • #37
                Re: Ashaar collection Aankhain by Aanchal

                Roop Ke Sagar Me Nahati Rahi Aankhein
                Khuch Khuwab Mery Dil Me Sajati Rahi Aankhien

                Yadoon Ke Darechy Pe Wo Daita Raha Dastak
                Kal Raat Bahut Mujh Ko Satati Rahi Ankhien

                Palkon Sey Tapakny Na Diya Aik Bhi Aansoo
                Ye Rasm-e-Muhabbat Bi Nibhati Rahi, Aankhein
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment


                • #38
                  Re: Ashaar collection Aankhain by Aanchal

                  Bechain rehti hain aankhein meri,
                  Ek tu hi acha lagta hai,
                  Jhuti lagti hai duniya sari,
                  Ek tu hi sacha lagta hai.
                  اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                  اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                  Comment


                  • #39
                    Re: Ashaar collection Aankhain by Aanchal

                    wahh, .. bohat umda bohat dilkash topic or sharing hai...keep sharing


                    Comment


                    • #40
                      Re: Ashaar collection Aankhain by Aanchal

                      Bohat Khoob
                      Achi Collection Hay .. :)
                      :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                      Comment

                      Working...
                      X