Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

! pErIsH boY ! < Topic aankhain >

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ! pErIsH boY ! &lt; Topic aankhain &gt;

    kiyon qatl ki neeyat se kaajal he lagaya,
    in aankhon ki musti ny paagul he banaya.

    mukhmoori nigahon men ye soorkh tabasum,
    zahid ko apny zohd se baatil he banaya.


    Comment


    • Re: ! pErIsH boY ! &lt; Topic aankhain &gt;

      Aankhon men meri simatne wale
      Nazron men teri bikhar raha hun


      Comment


      • Re: ! pErIsH boY ! &lt; Topic aankhain &gt;

        Eik din meri ankhain bhi mujh say ye keh dain gi Faraz
        Khawab us kay na daikha karo hum say ab roya nahi jata


        Comment


        • Re: ! pErIsH boY ! &lt; Topic aankhain &gt;

          Pyaas aisee ke pi jaun aankhen us ki
          Naseeb aisa ke muyassar zeher bhi nahi


          Comment


          • Re: ! pErIsH boY ! &lt; Topic aankhain &gt;

            Na jaane kaise dukh ka paish khaima kal ye saabit hon
            Tera hansta hua chehra meri roti hui aankhen


            Comment


            • Re: ! pErIsH boY ! &lt; Topic aankhain &gt;

              Aankhein bhi wohi hain tu darecha bhi wohi hai

              aur soch keh aangan mein utarta bhi wohi hai


              Comment


              • Re: ! pErIsH boY ! &lt; Topic aankhain &gt;

                tum agar aaNkh churaao to ye haq hai tumko
                maine tumse hi nahiN, sabse mohabbat ki hai


                Comment


                • Re: ! pErIsH boY ! &lt; Topic aankhain &gt;

                  jub tum Mujhko Dhondo gay, AanKhon main Nami ho gee...
                  Mehsoos tum ko Har dam, Phirr mairi Kami ho gee.


                  Comment


                  • Re: ! pErIsH boY ! &lt; Topic aankhain &gt;

                    Hai aankh namm to fiza namm se hogayi ulfat
                    Humen to zindagi ke khamm se hogayi ulfat


                    Comment


                    • Re: ! pErIsH boY ! &lt; Topic aankhain &gt;

                      kabhi khwab ban kar ankhhon main raho
                      bana ke yaadain kabhi dil main bula lain tum ko


                      Comment


                      • Re: ! pErIsH boY ! &lt; Topic aankhain &gt;

                        Aankhen khuli to mene dekha
                        Men koocha-e-ishq men kharri thi


                        Comment


                        • Re: ! pErIsH boY ! &lt; Topic aankhain &gt;

                          samandar mean uterta hon to ankhen bheeg jati hean
                          tere ankhon ko perhta hun to ankhen bheeg jati hean

                          tumhara nam likhny ki ejazat chin gayi jab see
                          koi bhi lafz likhta hon to ankhen bheej jati hean


                          Comment


                          • Re: ! pErIsH boY ! &lt; Topic aankhain &gt;

                            Ankhon ko chaye roshni hi roshni
                            Kaheen se is zamee'n ko asmaa'n to mile


                            Comment


                            • Re: ! pErIsH boY ! &lt; Topic aankhain &gt;

                              kabhi wo aankh ka ishara bhi samajh leta tha
                              aaj ashkon ki barsat rehi wo anjaan betha raha


                              Comment


                              • Re: ! pErIsH boY ! &lt; Topic aankhain &gt;

                                Bharkayen meri piaas ko aksar teri aankhen
                                Sehra mera chehra hai samandar teri aankhen


                                Comment

                                Working...
                                X