Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ashar Collection "Mohabbat"

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: Ashar Collection "Mohabbat"

    Husan se nibh na saki wazah karam akhir tak,
    Awal awal to muhabbat ki madarat hoi

    Comment


    • #62
      Re: Ashar Collection "Mohabbat"

      Walaikum Assalaaam

      buhat achi ghazal hai................Lyrics bhi achay hein is ghazal ke

      nice sharing

      Comment


      • #63
        Re: Ashar Collection "Mohabbat"

        Jala raha hon khod apne lahoo se dil ke charagh,
        Najane kitni muhabbat hai roshani se muje.

        Comment


        • #64
          Re: Ashar Collection "Mohabbat"

          Sabit qadan rahe hain muhabbat me aik hum,
          Warna tamam sheher me be reh rawi rahi.

          Comment


          • #65
            Re: Ashar Collection "Mohabbat"

            Izhaar e mohabat mere aansu hi karain ge,
            Izhar ba-andaz dagar ho nahi saktaa…

            Comment


            • #66
              Re: Ashar Collection "Mohabbat"

              Mujhe Samjhaya Na Karo Ke Ab To Ho Chuki Mujh Ko,
              Mohabbat Mashwara Hoti To Tum Se Poch Kar Karte .

              Comment


              • #67
                Re: Ashar Collection "Mohabbat"

                Mohabbat ki tabiyat mein agarcha gham nahin hota
                Magar hadsha judai ka ghamon se kam nahin hota

                Koi jugnu koi tara kahin se dhond kar lao
                Gharon ko phoonk dene se andhera kam nahin hota

                Comment


                • #68
                  Re: Ashar Collection "Mohabbat"

                  Mohabbat Andheri Raat Banke Aajayegi Ek Din dost
                  Yun apne Sab rishton se teri bagaawat achhi nahi.

                  Comment


                  • #69
                    Re: Ashar Collection "Mohabbat"

                    Wo jo apne aapko Noor E Hoor samjh bethai hain…
                    Kon jaanta tha unhe meri Mohabbat se pehle

                    Comment


                    • #70
                      Re: Ashar Collection "Mohabbat"

                      Mujhe Pyaar dikhana nahi ata?
                      Mujhe bato’n ka jaal bnana nahi ata?
                      Kash k “Wo” samjh jati bin kahe?
                      mujhe Mohabbat ko lafzo me kehna nahi ata

                      Comment


                      • #71
                        Re: Ashar Collection "Mohabbat"

                        Mohabbat phir mohabat hai?
                        Kabhi dil se nhi jaati,
                        Hazaron rang hain is k,
                        Ajab hi dhang hain is k,
                        Kabhi sehra, kabhi darya,
                        Kabhi jugnu, kabhi aansu,
                        Hazaron roop rakhti hai,
                        Badan jhulsa k jo rakh day,
                        Kabhi wo dhoop rakhti hai,
                        Kabhi ban ker ye ek jugnu,
                        Shab-e-gham k andheron mein,
                        Dilon ko aas deti hai,
                        Kabih manzil kinaarey per,
                        Piyasa maar deti hai,
                        Azziyat hi azziyat hai,
                        Magar ye bhi haqiqat hai,
                        Mohabat phir mohabat hai,
                        Kabhi dil se nhi jaati?.

                        Comment


                        • #72
                          Re: Ashar Collection "Mohabbat"

                          Zarori to nahi jo khshi dy usi sy mohabbat ho,
                          Pyar to aksar dil torny walon sy bhi ho jata ha

                          Comment


                          • #73
                            Re: Ashar Collection "Mohabbat"

                            Bus itna jan lo ek shakhs say hum nay mohobbat ki,
                            Hmaray tootnay ka khel piyaray tum na samjho gay…

                            Comment


                            • #74
                              Re: Ashar Collection "Mohabbat"

                              Suno … !

                              ”MOHABBAT” Yun Nahi Hoti

                              Kisi Ka “NAAM” Lene Se

                              Kisi Ko “THAAM” Lene Se

                              Kisi k “PAAS”Jane Se

                              Kisi k “DUUR” Jane Se

                              MOAHBBAT Ka Janam Nahi Hota

                              Jab Tak Dilo’n Ka “MILAN” Nahi Hota

                              Suno … !

                              “MOHABBAT” Yun Nahi Hoti

                              Ye “RABTA” Hy Dil Se Dil Ka

                              Ye “NAAM” Hy Betarteeb
                              “DHARKANO’N” Ka

                              MOHABBAT Tou Aankho’n Se
                              “BAYAN” Hoti Hy

                              Ye Tou Dil Ki “ZUBAAN” Hoti Hy

                              Suno .. !

                              “MOHABBAT” Yun Nahi Hoti … !

                              Comment


                              • #75
                                Re: Ashar Collection "Mohabbat"

                                Kuch Khaas Dilon Ko Ishq K Ilham Hotay hain
                                Mohabbat Moajza Ha Moajzay Kab Aaam Hotay Han!

                                Comment

                                Working...
                                X