Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

    Jab phel jaey waba Tark-e-Taluk ki
    Dil dhondta phirta hai dawa Tark-e-Taluk ki

    Comment


    • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

      tark e talluq ke bawajood aye dost
      mehsoos ki hai teri zaroorat kabhi kabhi
      __________________

      Comment


      • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

        Mushkil kahaan thy Tark-e-Ta'aluq k faislay
        Aye dil mager sawaal TERI zindagi ka tha
        __________________

        Comment


        • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

          Her Jafa Ki Her Sitam Ki Her Jagha Ki Sarzanish
          Her Wafa Ki Her Jagha Per Her Terhan Tauseef Ki

          Kiun Mujhay terk-e-ta'alluq Ka Mashwara Daytay Ho Tum
          Zaahidon Tum Nay Kabhi Qur'aan Mein Tehreef Ki ?

          Comment


          • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

            main jab bhi Tark-e-Taluq ki baat karta tha
            wo Rokti thi mujhe,kal pay taal Rakhti thi

            Comment


            • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

              Tham lo yeh haat magr yaad rakhna wafa k asool
              Tooth ker bikhar jayein hum, na ho kabhi yeh bhool
              Suna tou bohat hai ahl-e-mohabbat ka qissa magr
              Ada-e-tark-e-ta'aluq yeh tumhari humein qabool

              Comment


              • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                Ab Us Say Terk-e-ta’alluQ Karoon To Merr Jaaoon
                Badan Say Rooh Ka Is Derja Ishtiraak Hua.

                Comment


                • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                  Tarq-E-Ta'aluq Jo Kia Hai Tu Sambhalo Khud Ko..
                  Q Mere KHUWAB Me Har Rooz Chalay Aatay Ho

                  Comment


                  • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                    '' Uss se bichhray hue go ek zamaana beeta,
                    Phir bi is baat se takleef mujhe hoti hai
                    Kar gayi jis ke liye Tark-e-T'alluq mujh se,
                    Paa liya Usko, to Abb Mere liye roti hai!!! ''

                    Comment


                    • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                      '' Phir dil ne kya Tark-e-Ta'aluq ka irada
                      Phir tujh se mulaqaat k pehloo nikal aeye ''

                      Comment


                      • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                        Yeh raaz tark-e-ta'alluq ke baad hum samjhey
                        Kisee se tark-e-ta'lluq bhee ik ta'alluq hai

                        Comment


                        • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                          Aai Thi Ik Sada Si,Magar Ab Yaad Nahi...

                          Auron se Thi Juda Si ,Magar Ab Yaad Nahi...

                          Tark-e-Ta'alluq Ka Jo Ban Gai Sabab..

                          Woh Baat thi Zara Si ,Magar Ab Yaad Nahi...
                          __________________

                          Comment


                          • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                            Yeh Ta'sa'ruff hai Tera, Ya Mera May'yar-e-Wafa
                            Tark-e-Ulfat per bhi Tu Itna he Piyara Kiun hai

                            Comment


                            • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                              Tark-e-wafa k baad ye us ki adaa ''Qateel''
                              Mujh ko sataye koi to Usko bura lagay…

                              Comment


                              • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                                Baar-haa terq-e-ta'alluq pay bhi jab yaad kiya
                                Meray honton say teray naam ki khushboo aai !

                                Comment

                                Working...
                                X