Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

    Ik faqat terk-ta'alluq ka hunar hai teray paas
    Istaymaal is ka meri jaan tujhay sochna hai

    Mujh say matt pooch k main sochta kiun rehta hoon
    Kis ki khaatir hoon parayshaan tujhay sochna hai

    Comment


    • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

      Wo Chahe To Ab Mujh Se Tark-e-Ta'aluq Kar Le
      Wo Meri Zindagi Hai Usay Bata ke Aaya HooN

      Comment


      • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

        Aansoo bhee thaa ussee ka waheen par giraa howaa
        khaat mai jahaan tha tark - e - taaluq likha howa

        Comment


        • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

          chali hay shehr may abb k hawa tark e ta'aluq ki,
          kaheen hum say na ho jayay khata ,tark e ta'aluq ki,
          banawat guftagoo may,guftagoo be ukrhe ukrhe see,
          ta'aluq rasmi rasmi sa, ada tark e ta'aluq ki

          Comment


          • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

            bicharna shart hi thera to yun bichar jayen
            kisi ko tark e talluq ka kuch gila na rahey

            ye dil hi tor don tujh se jo bad ghuman ho kabhi
            kai aaye baal to behter hai kai aaina na rahey

            hai teri tark e talluq ki khahisho'n ka khayal
            dua ye hai kai tujhey is ka hausla na rahey

            Comment


            • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

              Jis Tarah Tark-e-Ta'aluq Pay Hai Israr Ab K
              Aise Shiddat Toh Mere Ehad-e-Wafa Main B Na ThI

              Comment


              • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                Tark-E-Taluq Ki Pahel Mein ne Ki
                Chahta To Wo Tha Magar Us Mein Hosla Na Tha
                Chorne Ka Faisla To Roz Kerta Tha WO Magar
                Meri Wafa K Aage Uska bas Chalta Na Tha

                Comment


                • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                  Main kiyon na tark-e-ta'aluq ki ibteda karta?
                  Wo dur dais ka baasi tha kiya wafa karta ?

                  Wo mere zabt ka andaza karne aaya tha
                  Main has ke zakhm na khata tu aur kiya karta ?

                  Hazar aiena khano'n mein bhi na pa saka
                  Wo aiena jo mujhe khud se aashna karta

                  Dar-e-qafas pe qayamat ka habs tha warna
                  Saba se zikr tera mein bhi sunn liya karta

                  Meri zamee'n, too agar mujh ko raas aa jaati !
                  Main rifato'n mein tujhe aasma'n sa kerta

                  Gham-e-jaha'n ki muhabbat lubha rahi thi mujhe
                  Main kiss tarha teri chahat pe aasra karta ?

                  Agar zuba'n na kat'ti tu shehar mein Mohsin
                  Main pathro'n ko bhi ek rooz hamNawa karta

                  Comment


                  • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                    MAIN KYUN NA TARK-E-TALUQ KI IBTEDA KERTA
                    WOH DOOR DAIS KA BASI THA KIA WAFA KERTA
                    WOH MEREY ZABT KA ANDAZA KERNE AAYA THA
                    MAIN HANS Ke ZAKHAM NA KHATA TO AUR KIA KERTA

                    Comment


                    • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                      یہ دل کا چور کہ اس کی ضرورتیں تھیں بہت
                      وگرنہ ترک تعلق کی صورتیں تھیں بہت

                      Comment


                      • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                        Wo Chahe To Ab Mujh Se Tark-e-Ta'aluq Kar Le
                        Wo Meri Zindagi Hai Usay Bata ke Aaya HooN

                        Comment


                        • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                          Main kiyon na Tark-e-Ta'aluq ki ibteda karta
                          Wo dur dais ka baasi tha kiya wafa kartA ?

                          Comment


                          • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                            Tark-e-Ta'aluq apni khata ho aisa bhi ho sakta hai
                            Woh ab bhi paa-band e wafa ho aisa bhi ho sakta hai
                            Darwazay par aahat sunkar usski taraf kiu dhihaan gaya
                            Aanay wali sirf hawaa ho aisa bhi ho sakta haI
                            Your Signature is too large. Please Repla

                            Comment


                            • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                              Wo Chahe To Ab Mujh Se Tark-e-Ta'aluq Kar Le
                              Wo Meri Zindagi Hai Usay Bata ke Aayi HooN

                              Comment


                              • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                                Tark-e-Ta'aluq pe roya..............na tu na main
                                Magar ye kia k chain se soya ....na tu na maiN?

                                Comment

                                Working...
                                X