Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

    Tark-e-TaluQ k Baad , Uski Ye Adaa Qateel . . . .



    Mujhko Staye Koi , To Usko Bura Lgta Hai . .

    Comment


    • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

      Humi ne tark-e-taluq main pehel ki ke Faraz,
      Woh chahtaa tha magar hauslaa na tha us ka..

      Comment


      • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

        Seekh lia Hum ne bhi
        Tark-e-taluq krna,
        "MOHSIN"

        Muhabbat dete dete Hum ne apni Qadar kho di.

        Comment


        • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

          Rabtun mai kami hay, tark e taluk na hoga bharosa rakh.....

          tere siwa hay hi kon meri zaat se wabasta......
          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

          Comment


          • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

            Bus Ab Tark-e-Ta'aluq ho Chuka to ho Chuka Tum se
            Museebat Kya hai , Dereena Maraasam ki Duhaayi dein
            Kisi Tafseel mein Jaaney ki Aakhir Kya Zaroorat hai
            Tumhein Sacha Nahi Ham Maantey, phir kyon Safayi Dein

            Comment


            • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

              Na muradi ka ye aalam bhi to ai dil na rahey
              Ab to ham tarq e ta'alluq k bhi qabil na rahey
              Aaj usney sharaf-e ham'safari bakhsha tha
              Istarah se k mujhe khahish e manzil na rahey

              Comment


              • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                Garz Tark-e-ta'aluq koi chara bhi nahiN tha
                Bin us k mager apna guzara bhi nahiN tha
                __________________

                Comment


                • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                  Aa tuj ko dikhaoun k tere bad sitamgar
                  Weeran pary hai ye Dar o baam abi tak

                  Gar tark e talaq ko hua ek zamana
                  Honton p machalta hai tera naam abhi tak

                  Comment


                  • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                    Teray derr say uth ker jidher jaaoon main
                    Chaloon do qadam or theher jaaoon main

                    KhumaaR un say terk-e-ta'alluk bajaa
                    Mager jeetay jee kaisay mer jaaoon main

                    Comment


                    • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                      Bus Ab Tark-e-Ta'aluq ho Chuka to ho Chuka Tum se
                      Museebat Kya hai , Dereena Maraasam ki Duhaayi dein
                      Kisi Tafseel mein Jaaney ki Aakhir Kya Zaroorat hai
                      Tumhein Sacha Nahi Ham Maantey, phir kyon Safayi Dein

                      Comment


                      • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                        nalaan hoon zamaanay say na halaat pay chup hoon
                        Hai baat hi aisi k main jis baat pay chup hoon

                        Is darr say tujhay koi na herjaai samhaj lay
                        Main terk-e-ta'alluq k sawaalaat pay chup hoon

                        Comment


                        • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                          Talluq tor'd do par mujhe itna to batla do,
                          Tumhare baad dunya me meri pehchan kya hogi..

                          Comment


                          • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                            Hawaa-e-terk-e-ta'alluq chali hai dayhaan rahay
                            Mager ye baat hamaaray hi dermiyaan rahay

                            Comment


                            • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                              Tark-E-Taluq Ki Pahel Mein ne Ki
                              Chahta To Wo Tha Magar Us Mein Hosla Na Tha
                              Chorne Ka Faisla To Roz Kerta Tha WO Magar
                              Meri Wafa K Aage Uska bas Chalta Na Tha
                              __________________

                              Comment


                              • Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                                Terk-e-ta'alluq apni khata ho aisa bhi ho sakta hai
                                Wo ab bhi paa-band-e-wafa ho aisa bhi ho sakta hai

                                Derwaazay per aahat sun ker us ki taraf kiun dayhaan gaya
                                Aanay waali sirf hawa ho aisa bhi ho sakta hai.

                                Comment

                                Working...
                                X