Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

    chali hay shehr may abb k hawa tark e ta'aluq ki,
    kaheen hum say na ho jayay khata ,tark e ta'aluq ki,
    banawat guftagoo may,guftagoo be ukrhe ukrhe see,
    ta'aluq rasmi rasmi sa, ada tark e ta'aluq ki

    Comment


    • #17
      Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

      bicharna shart hi thera to yun bichar jayen
      kisi ko tark e talluq ka kuch gila na rahey

      ye dil hi tor don tujh se jo bad ghuman ho kabhi
      kai aaye baal to behter hai kai aaina na rahey

      Comment


      • #18
        Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

        hai teri tark e talluq ki khahisho'n ka khayal
        dua ye hai kai tujhey is ka hausla na rahey

        Comment


        • #19
          Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

          Main Kiyon Na Tark-E-Ta'aluq Ki Ibteda Karta
          Wo Dur Dais Ka Baasi Tha Kiya Wafa Karta ?

          Wo Mere Zabt Ka Andaza Karne Aaya Tha
          Main Has Ke Zakhm Na Khata Tu Aur Kiya Karta ?

          Hazar Aiena Khano'N Main Bhi Na Pa Saka
          Wo Aiena Jo Mujhe Khud Se Aashna Karta

          Comment


          • #20
            Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

            Jis Tarah Tark-e-Ta'aluq Pay Hai Israr Ab K
            Aise Shiddat Toh Mere Ehad-e-Wafa Main B Na ThI
            __________________

            Comment


            • #21
              Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

              juB tark-e-ta'aluq koi chara bhi nahiN tha
              bin us k mager apna guzara bhi nahiN tha

              daa'way to sabhi ko thy wafadari k, lekin,
              ham dooby to tinkay ka sahara bhi nahiN tha

              Comment


              • #22
                Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                Dekha mujhe to tark e talluq ke bawajood
                woh muskura diya ye hunar bhi usi ka tha

                Comment


                • #23
                  Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                  Zidon Say Tarqe Taluq To Kar Liya Lekin
                  Sukon Usay Bhi Nhi,Be Qarar Hum Bhi Hain

                  Zuban Kehti Hai Sara Qasor Us Ka Hai
                  Zameer Kehta Hai, Kuch Zimedar Hum Bhi Hain

                  Comment


                  • #24
                    Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                    hoti nhi qabool dua
                    tark_e_ishq ki
                    g chahta na ho to
                    dua main asar kahan

                    Comment


                    • #25
                      Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                      Seena dehak raha ho to kya chup rahay koi
                      Kiun cheekh cheekh ker na gala cheel lay koi

                      Terk-e-ta-allukaat koi mas'alaa nahi
                      Ye to wo raasta hai k bas chal paray koi

                      Ik shakhs ker raha hai abhi tak wafa ka ziker
                      Kaash is zabaan-daraaz ka muun noch lay koi.

                      Comment


                      • #26
                        Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                        Hisaab e Tark e Ta'aluq Tamaam Main Ney Kiya
                        Shuru Is Ney Kiya Aur Tamaam Main Ney Kiya
                        bOhet dinOn Mein Meray Ghar Ki Khaamshii tOotii
                        KhUd Apney Aap Sey iK Din Kalaam Main Ney Kiya..

                        Comment


                        • #27
                          Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                          Ta’arruf rog ho jaaye to usko bhoolna behtar
                          Ta’alluq bhoj ban jaaye to usko torna acha
                          Wo afsaana jise anjaam tak lana na ho mumkin
                          Use ik Khoobsoorat mor dekar chhorna acha

                          Comment


                          • #28
                            Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                            Dekha mujhe toh tarke taluk ke bawajood .
                            woh muskura diya yeh hunar bhi usi ka tha.,.
                            __________________

                            Comment


                            • #29
                              Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                              Aarzoo kar na saki tark e talluq ko qubool
                              tum se bichre to tumharei yaad k ho bethe

                              Comment


                              • #30
                                Re: ashaar collection '' Tark-e-ta'aluq ''

                                'Faraz' tark-e-ta'alluq to khair kya hoga
                                yahi bahut hai ke kam kam mila karo us se

                                Comment

                                Working...
                                X