Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ashaar collection " خواب"

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ashaar collection " خواب"

    Zindagi khawab-e-pareshaan se zeyada to nahin,
    Is main tabeer bhi mil jaye yeh waada to nahin,
    Baat be’baat ulajhney ki yeh huu kesi hai,
    Yeh bataa tera bicharrney ka iraada to nahin,
    Kon khushbuu ke peechey geya door talak,
    Log saada hain magar itney bhi saada to nahin,
    Kis khushi se mujhe bheja hai bata surkh gulaab,
    Zulm ka yeh teri jaanib se iraada to nahin,
    Bewafa hum hi sahi, khud pe bhi kuch ghaur karo,
    Be’rukhi aap ki bhi hadh sey zeyadaa to nahin..!
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment


    • Re: ashaar collection " خواب"

      Tamaam Rang Meray Aur Saaray Khwab Meray
      Fasana Thay Ya Fasana Bana Gaya Aik Shakhs
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment


      • Re: ashaar collection " خواب"

        Na koi Khawab hai baaqi na hi Khayaal koi
        bikhar gayaa hai meraa Khawaab-zaar aaNkhoN meiN
        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

        Comment


        • Re: ashaar collection " خواب"

          Rat Jag0n K Sehra Me Khawab Jab Ujar Jaaye Tum Udas Mat H0na

          Zindagi K Meley Me Hum Agar Bichar Jaaye Tum Udas Mat H0na
          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

          Comment


          • Re: ashaar collection " خواب"

            Ek raat khawab
            main meinay dekha

            Chand say pocha chup k say

            Aaj mujhy Ek baat batao

            Apny dil ka hall sunao
            Kya hai koi aisa
            jo
            Tum ko acha legta ho?
            Apna Apna lagta ho.

            Dil k pas jo basta ho.
            Chand nay tera naam leya.
            Main nay dil ko apnay thaam leya.
            Jab say dekha hai yeh sapna.

            Tab say chand raqeeb hai apna
            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

            Comment


            • Re: ashaar collection " خواب"

              Khwab martay nahin
              Khwaab dil hain na aankhein na shamein keh jo
              Rezaa rezaa huey to bikhar jayein ge
              Jism ki maut se yeh bhi mar jayein ge
              Khwaab marte nahin
              Khwaab to roshni hain, navaa hain, hawaa hain
              Jo kaaley paharon se ruktey nahin
              Zulm ke dozakhon se bhi phuktey nahin
              Roshnee aur navaa aur hawa key alam
              Maqtalon mein pohanch kar bhi jhuktey nahin
              Khwab to harf hain , Khwaab to noor hain
              Khwaab suqraat hein
              Khawab mansoor hain
              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

              Comment


              • Re: ashaar collection " خواب"

                Aks-e-khushboo hon bikhatny se nah roky koi
                Aor bikhar jaon to mujh ko nah samety koi

                Kanp uthti hon main yeh soch ke tanhai mein
                Mery chehry pe tera naam nah parh le koi

                Jis tarh khawab ho gaye mery reza reza
                Is tarh se nah kabhi toot ke bikhry koi
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment


                • Re: ashaar collection " خواب"

                  [SIZE=4]Bohat hi khoob, itni mayaari aur khoobsurat collection KHUWAAB per pehlay nahin paRhee, big thanks to Aanchal, life, driver, and all other members who have contributed their bit here..... abhi tak main srif 2 page paRh paaya, baaqi bhi jald hi paRh loon ga :)

                  Meri jaanib say iss mehfil-e-sukhan ki nazar yeh sha'air.....!


                  Din Ko MASMAAR Huway, Raat Ko TAMEER Huway
                  KHUWAB hi KHUWAB, Faqat Rooh Main Jageer Huway
                  Umr Bhar Likhtay Rahay, Phir Bhi Warq Saada Raha
                  Jaanay Kia Lafz Thay, Jo Hum Say Na TEHREER Huway!![/
                  SIZE]
                  sigpic

                  Comment


                  • Re: ashaar collection " خواب"

                    Hum tu bas khwab hain
                    kuch pal k liay dekho humey

                    phir kisi aankh , kisi neend
                    main aaney k nahi

                    phir kisi raah kisi morr par
                    hum hoon gey nahi

                    Hum tu bas gard hain
                    kuch dair main mitt jaiengey

                    Hum tu khushbu hain
                    Humey rang na dena koi

                    sirf ehsas ko chu kar hai guzar jana humey
                    Hum tu aanso hain bahain gey
                    tu na loatain gey kabhi

                    Hum tu bas zakhm hain
                    seeney ka... humey bharna hai

                    Hum wo ehsas ki belain hain jo chaoon chahain
                    dard ki dhop jo chu ley tu humey marna hai
                    Hum tu bas khwab hain kuch pal main bikharney waley !!
                    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                    Comment


                    • Re: ashaar collection " خواب"

                      Dekh lo Khwab magar Khwab ka charcha na karo.
                      Log jal jayenge sooraj ki tamanna na karo.

                      Waqt ka kya hai kisi pal bhi badal sakata hai.
                      Ho sake tum se to tum mujh pe bharosa na karo.

                      Kirchiya.N Toote huye aks ki chubh jayengi.
                      Aur kuch roz abhii aaina dekha na karo.

                      Ajanabi lagane lage Khud tumhen apana hi wajood.
                      Apane din raat ko itana bhi akela na karo.

                      Khwab bachon ke khilaunon ki tarah hote hain.
                      Khwab dekha na karo Khwab dikhaya na karo.

                      Be Khayali mein kabhi ungaliya.N jal jaayengi.
                      Rakh guzare hue lamhon ki kureda na karo.

                      Mom ke rishte hain garmii se pighal jaayenge.
                      Dhoop ke shahar mein Wafa ki tamnna na karo…
                      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                      Comment


                      • Re: ashaar collection " خواب"

                        Khwaab Aankhon Mein Chubho Ker Dekhoon,
                        Kaash Main Bhi Kabhi So Ker Dekhoon.
                        Shayed Ubhre Teri Tasveer Kaheen,
                        Main Teri Yaad Mein Ro Ker Dekhoon..
                        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                        Comment


                        • Re: ashaar collection " خواب"

                          khawab aur khoshboo …
                          Donon hi azada rooh hain
                          Donon qaid nahin ho sakte
                          Mere khawab
                          Tumhari khoshboo……
                          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                          Comment


                          • Re: ashaar collection " خواب"

                            Phir se ankhoon main khawab Inshaa Ji,
                            Ijtenaab, Ijtenaab, Ijtenaab Inshaa Ji…!!!
                            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                            Comment


                            • Re: ashaar collection " خواب"

                              Jo meri ankhon se khawab dekho
                              To ek bhi shab na so sako ge
                              Ke Laakh chaho na hans sako ge
                              Hazar chaho na ro sako ge
                              Ke Khawab kia hain azaab hain yeh
                              Mere dukhon ki kitaab hain yeh
                              Rafaqaten un ki choot-ti hain
                              Mohabbaten un ki rooth-ti hain
                              Panapti hain un main wehshaten si
                              Aziyaten un main phoot-ti hainInhi ke sar se khizaan hain jazbay
                              Inhi se shaakhen se toot-ti hain
                              Ghamon ki bandish main khawab mere
                              Dukhon ki barish main khawab mere
                              Ubal raha hai dukhon ka laawa
                              Zameen aatish hain khawab mere
                              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                              Comment


                              • Re: ashaar collection " خواب"

                                Kaghaz Par Nahi Likhte Kuch Raaz Mohabbat Ke,
                                Pal Bhar Mein Bikhar Jaate Hain Alfaaz Mohabbat Ke,

                                Use Toot Kar Chaha Toh Hum Khud Hi Bikhar Gaye,
                                Aise Badal Jaate Hain Andaaj Mohabbat Ke,

                                Un ki Saheliyo Se Zara Kahna, Unhe Sath Hi Laaye,
                                Mujhe Phir Se Sajaane Hain Kuch Khwab Mohabbat Ke,

                                Apni To Saase Dost Usi Waqt Mein Thee Shaamil,
                                Kyun Baithe Huve Chor Gaye Kuch Haath Mohabbat Ke….
                                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                                Comment

                                Working...
                                X