:hii: dill ki kya puchte ho . aksar toot jaya karte hain :hii: iske murda ho jane se . sapne aankhun se root jaya karte hain :hii: pal bhar ki be itbaari se . apnu ke saath choot jaya karte hai :hii:
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
dill toot jaya karte hai
Collapse
X
-
Re: dill toot jaya karte hai
Originally posted by mehreen View Posthala g ghalti ki nashan dehi karne ka shukriya.aenda ill b care full . new riterz ko purane riterz ka taawan chahiye
n if u need any kinda help...just ask for it without any hesitation..n insha'Allah jis se jitna bun parrey ga will help you..........................!!!!!
Comment
-
Re: dill toot jaya karte hai
Assalaam-O-alaikum Mehreen
Wah janab, bohat hi achi kaawish hay, aisa lagta hay kay lafzoon main, guzray huway lamhat ki nishandahi horahi hay!! Koshish karti rahyeh.
Aik baat apnay zaati tajurbay ki bunyaad per kehnay ki jasarat kar raha hoon, maazrat kay saath :)
"Jo rishtay dil kay rishtay hotay hain, woh kabhi bhi bay-aitibaari, bay-wafayi, bay-kasi, bay-basi, waghaira waghaira kay shikaar nahin hotay, balkay aisi baatain inn rishtoon ko aur mazboot karti hain aur humain iss baat ka ehsaas dilaati hain kay humari zindagi per inn rishtoon ka kitna gehra asar hota hay kay agar unnkay saath haalat achay hotay hain tou dil KHUSHI say khilkhilaa jaata hay aur agar unn say halaat buray hoon tou dil khoon kay ansoo rota hay, yahan tak kay hum apnay wajood ko aur apnay dil ko murda samajhtay hain"
Ab aap khudh hi sochain kay agar waqayi BAYAITIBAARI ki waja say woh rishtay hum say door hojaatay tou humara dil bhala MURDA kiyon hota, chahay kuch bhi halaat hoon, sachay rishtay zindagi bhar qayim rahtay hain khuwa jiss say rishta hay aap kay saath ho yaa na ho!!
Khush rahyeh aur apni kaawish jaari rakhyeh.
Fi amaan ALLAH
Originally posted by mehreen View Post
dill ki kya puchte ho
aksar toot jaya karte hain
iske murda ho jane se
sapne aankhun se root jaya karte hain
pal bhar ki be itbaari se
apnu ke saath choot jaya karte hai
sigpic
Comment
-
Re: dill toot jaya karte hai
Bohat hi khoobsurat baat likhi aap nay, dil KHUSH hogaya :) Isi tarah ki achi baatain hum sab share karti rahyeh aur humain seekhnay ka sharf bakhshyeh :)
Originally posted by mehreen View Postaaa so nice of u thnx aik hi ghar main rehne ke liye aik dusre ka tawan to hona chahyesigpic
Comment
-
Re: dill toot jaya karte hai
waslam bhai mazrat ki bat nahi aap ne darust baat kii me hud is baat pe believe kartii hu ke jaha chaa waha raah wala muhawra suna ho ga jis rishte me beitbari ho vo rishta khoklaa hota hai jese gar too log ret ke bi banate hain par un me or dusre garu me ye farq hota hai ke ret ke gar jaldii ghir jate hai aaj bhi kehne pe aau haqeeqat pasandii se to deru daleeli de sakti hu par is sach ko bi jutlaya nae ja sakta ke rishte be pamaal ho rahe hai boht shukriya aap ki raaye ka
Comment
-
Re: dill toot jaya karte hai
Dear Mehreen, main apnay zaati tajurbay say baat karta hoon, insaani rishtay ALLAH SWT nay banayay hain, hum insaan itni taaqat nahin rakhtay kay unn rishtoon ko touR sakain..... Bayaitbaari qareebi rishtoon ko kab bhala touR sakti hay :)
Originally posted by mehreen View Postwaslam bhai mazrat ki bat nahi aap ne darust baat kii me hud is baat pe believe kartii hu ke jaha chaa waha raah wala muhawra suna ho ga jis rishte me beitbari ho vo rishta khoklaa hota hai jese gar too log ret ke bi banate hain par un me or dusre garu me ye farq hota hai ke ret ke gar jaldii ghir jate hai aaj bhi kehne pe aau haqeeqat pasandii se to deru daleeli de sakti hu par is sach ko bi jutlaya nae ja sakta ke rishte be pamaal ho rahe hai boht shukriya aap ki raaye kasigpic
Comment
Comment