Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

Collapse
This is a sticky topic.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

    Dil e nadan aaj udaas bohat hai
    koe dour hoty hoay pas bohat hai
    kis qader logon se hain apny marasim
    phir bhe os ki kami ka ahsaas bohat hai

    Comment


    • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

      Runj say khoogar hoaa insaan to mit jata hay runj
      mushkalain itni padi mujh par kay aasaan hoo gaeen




      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

        Mehsoos ker rahe hon mai jeeny ki talkhya
        shayad mujy kise se mohabat nahe rahe

        Comment


        • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

          :donno:
          Attached Files
          Last edited by Gul; 17 December 2007, 16:14.

          Comment


          • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

            Kise se hath kise se nazar milaaty hoay
            mai bujh rahe hon rawa daarya nibhaty hoay
            kise ko mery dukhon ki khabaer ho b to kesy
            ma her ek se milte hon muskuraty hoay

            Comment


            • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

              Umrr Kuch Aisi Guzaari Jese Khuaabon Ka Safar
              Aur Safar Aisa Ke Raah Main, Koi Saaya He Nahin
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment


              • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r
                Lafz Khushbo Hoon Bhikarnay Se Na Rookay Koi
                Agar Bhikar jao'n tu Mujhko Na Sameitay Koi
                (Parveen Shakir)
                Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
                Sadly, common sense is not very common..!!

                Comment


                • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                  Khud ko khud se ham kalaam ker k dekhna
                  kitna mushkil hai ye kaam ker k dekhna
                  kis qadar udaas guzarte hain mere shamain
                  yaad kise ko her shaam ker k dekhna

                  Comment


                  • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                    Milen gi hume bhi apne naseeb ki khushyaan
                    Bus muntazir hain ke kub ye kamaal hona hai
                    Har ek shakhs chalay ga hamari raahon per
                    Mohabbaton me hume be-misaal hona hai

                    Comment


                    • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                      Kitni majboorya palkon py saja dety hain
                      hum kaha rooty hain haalaat rula dety hain

                      Comment


                      • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                        Mere kamray me pare meri kismat ke najoom
                        har taraf bikhray rasaalon aur kitaabon ke hajoom
                        Ab jagah kaafi nahi hai mere rehne ke lye
                        Main ne kitna parh lya kuch na kehne ke lye

                        Comment


                        • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                          :donno:
                          Attached Files

                          Comment


                          • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                            Zindagi ka lamha, lamha zindagi par bhaari hai,
                            Jis taraf main jaa raha hoon raasta dushwaar hai,
                            Kuch nahi hai ek gharonda hai yeh meri zindagi,
                            Main jidhar bhi dekhta hoon ret ki deewaar hai

                            Comment


                            • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                              Lehron main doobty rahy derya nahe mila
                              os se bichar ky phir koe wesa nahe mila
                              kuch loog thore dair to achy lagay mager
                              hum jis k ho sakay koe esa nahe mila

                              Comment


                              • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                                Originally posted by aik_lerki View Post
                                Lehron main doobty rahy derya nahe mila
                                os se bichar ky phir koe wesa nahe mila
                                kuch loog thore dair to achy lagay mager
                                hum jis k ho sakay koe esa nahe mila
                                Buhat khobsorat :rose

                                Likhoon kuch aaj yeh waqt ka takaza hai,
                                Dil mein dard abhi kuch taza hai,
                                Gir padte hain aansu mere kagaz par,
                                Lagta hai kalam me siyahi kam aur ishq zyada hai.

                                Comment

                                Working...
                                X