Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Yaaden

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Yaaden

    Assalaam Alaikum

    Der lagta hai mujhe raat k us peher se,
    Utarti hai jab dil k angan me uski yaaden.

    :rose :rose :rose

  • #2
    Re: Yaaden

    aap ka shaair paRh kar tou mujhay darr lagnay laga hay, raat kay uss pehar main tou bhootniyan hi aasakti hain aap ki tanhayi doour karnay kay liye lolzzz :)

    Again mazaq aik taraf aur aap ki shaaeri ki tareeef aik taraf, very well said, khush rahyeh :)
    sigpic

    Comment

    • #3
      Re: Yaaden

      Originally posted by thefire1 View Post
      aap ka shaair paRh kar tou mujhay darr lagnay laga hay, raat kay uss pehar main tou bhootniyan hi aasakti hain aap ki tanhayi doour karnay kay liye lolzzz :)
      Bhootniyaan bhi aaaj larkiyon se zyada khubsorat hoti hen, shayad aap ka kabhi kisi bhootni se waasta nahi para hai :lol

      Originally posted by thefire1 View Post
      Again mazaq aik taraf aur aap ki shaaeri ki tareeef aik taraf, very well said, khush rahyeh :)
      Buhat shukriya :)

      Comment

      • #4
        Re: Yaaden

        Nahin bhai mera tou kisi laRki say bhi paala nahin paRa bhootni tou doour ki baat hay... aur haan ab apni khair manayain agar kisi laRki nay aap ki yeh post paRh lee tou Shawaal kay mahinay main bhi aitikaaf main paithna paRay ga woh bhi pooray 40 din lolzzzz :)
        sigpic

        Comment

        • #5
          Re: Yaaden

          Originally posted by thefire1 View Post
          Nahin bhai mera tou kisi laRki say bhi paala nahin paRa bhootni tou doour ki baat hay... aur haan ab apni khair manayain agar kisi laRki nay aap ki yeh post paRh lee tou Shawaal kay mahinay main bhi aitikaaf main paithna paRay ga woh bhi pooray 40 din lolzzzz :)
          Uff kitni aazu hai na aap ki ke aap ka bhi kisi bhootni I mean larki se paala par jaye.......:lol

          Mai aap k jazbat ko samajh sakta hon :tasali:

          Comment

          • #6
            Re: Yaaden

            Khuda ka khuof karain janab..... bhootni say kiyon paRay ga pala..... baaqi ka kuch keh nahin saktay kay kia arzoo hay kuch baatain seegha-e-raaz hi rahain tou behtar hota hay :)
            sigpic

            Comment

            • #7
              Re: Yaaden

              Originally posted by thefire1 View Post
              Khuda ka khuof karain janab..... bhootni say kiyon paRay ga pala..... baaqi ka kuch keh nahin saktay kay kia arzoo hay kuch baatain seegha-e-raaz hi rahain tou behtar hota hay :)
              Chu chu chu aap k haal per to Ghalib sahab ka woh shair yaad aata hai

              Hazaron khuwahishen aisi hen ke har khuwahish per dum nikle,
              Buhat nikle mere armaan, magar phir bhi kum nikle,

              Muhabbat me farq nahi hai jeene aur marne ka,
              Usi ko daikh kar jeete hen jis kafir per ye dum nikle :)

              Comment

              • #8
                Re: Yaaden

                Pehla shaair tou theek hay waqayi khuwaaishat tou bohat hain aur unhain paanay ki jaddojehad main bhi lagay hain...

                magar doosray waalay shaair kay jawab main srif itna hi kahon ga

                Ajnabhi Rahoon Main Tanha Hoon Kisi Say Kia Gila
                Aap Hi Dushman Main Apna Ko Kisi Say Kia Gila
                Kaisay Shikway Kaisi Shikayat Aap Beti Hay Zaroor
                Jo Guzarti Hay Woh Kehta Hoon Kisi Say Kia Gila
                Apnay Hath, Apna Girayban, Apni Wehshat, Apna Dil
                Aap Hi Apna Nishaana Hoon, Kisi Say Kia Gila

                Bas yoon samjh lain kay kuch usooloo per mabni hay zindagi, bohat kuch hotay huway bhi kuch naa paanay ki khuwaaish aur kuch na hotay huway bhi sab kuch paanay ki tamanna

                Dil Bhi Kisi Bachay Ki Tarhan Zidd Per aRa Hay
                Ya Tou Issay Sab Kuch Chayeh, Ya Kuch Bhi Nahin :)
                sigpic

                Comment

                • #9

                  Ohhoooo u to chupay rustam nikle......

                  Ab to u se detail me baat karni pare gi :mm:

                  Comment

                  • #10
                    Re: Yaaden

                    tou karain na detail main baat main nay kab mana kia hay.... chuppa rustam nahin ho janab, apni zindagi aik khuli kitaab ki tarhan hain aur har warq saada hay lolzzzz :)
                    sigpic

                    Comment

                    • #11
                      Re: Yaaden

                      Originally posted by thefire1 View Post
                      tou karain na detail main baat main nay kab mana kia hay.... chuppa rustam nahin ho janab, apni zindagi aik khuli kitaab ki tarhan hain aur har warq saada hay lolzzzz :)
                      Sub se pehle ye bataye ne Oct ke month me aap koi khas bizi to nahi hen? matlub ke PG per regular rahen ge?

                      Comment

                      • #12
                        Re: Yaaden

                        INSHALLAH koshish poori rahay gi... bas end of October I mean 29 Oct ko Middle East ka tour hay INSHALLAH Egypt, Jordan, Syria, Lebenon and Turkey, 15 din main waapsi hojayay gi..... :)
                        sigpic

                        Comment

                        • #13
                          Re: Yaaden

                          Originally posted by thefire1 View Post
                          INSHALLAH koshish poori rahay gi... bas end of October I mean 29 Oct ko Middle East ka tour hay INSHALLAH Egypt, Jordan, Syria, Lebenon and Turkey, 15 din main waapsi hojayay gi..... :)
                          Chalye jee Oct me aap k liye ek bharpoor surprise hai

                          aur aap k tour k liye best of luck bro :thmbup:

                          Comment

                          • #14
                            Re: Yaaden

                            meray liye surprise.... SUR ko ghumaanay ka PRIZE yaani SUR...PRISE tou nahin.... reham karna meri haalat per bhai... waisay bhi mujhay bohat darr lagta hay aap sab say..kabhi bhootniyon ki baatain kartay hain, kabhi murghi ki choonchoon say shaheed karnay ki aur kabhi kia tou kabhi kia.... itni dehshat gardi thik nahi samjhay na, kisi kay nazuk dil ka tou khayal rakhain ab har koi aap ki tarhan bhootniyon ki yaad main aur unn ki ahat main tou zindagi nahin bitaata na lolzzzz :)
                            sigpic

                            Comment

                            • #15

                              Nahi nahi aap fikar na karen itna zulm hum aap per nahi karen ge ke aap waqt se pehle hi shaheed ho jayen :lol

                              Bus ek chhota sa Muhabbat bhara tuhfa hai aap k liye :)

                              Comment

                              Working...
                              X