Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~ Eid Asha'ar Bait Bazi ~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: ~*~ Eid Asha'ar Bait Bazi ~*~

    Sada hunste raho jaise hunste hen phool,
    Dunya ke saare ghum tumhy jayen bhool,
    Chaaron taraf phelao khushiyon ka geet,
    Isi ummid ka sath tumhe MUBARAK ho EID





    Comment


    • #17
      Re: ~*~ Eid Asha'ar Bait Bazi ~*~

      Mujhe mil gaya bahana teri deed ka
      Aisi Khushi le ke aaya chaand Eid ka :)

      Comment


      • #18
        Re: ~*~ Eid Asha'ar Bait Bazi ~*~

        I aM Not a complete Idiot......Some parts are Missing........

        Comment


        • #19
          Re: ~*~ Eid Asha'ar Bait Bazi ~*~

          Mai ne chaha tujhe Eid pe kuch nazar karon,
          Jis me ehsaas ke sab rung hon roushan roushan
          Jis me aankhon ke taraashe hue moti laakhon
          Jis me shaamil ho mere qalb ki dharhkan dharhkan,





          Comment


          • #20
            Re: ~*~ Eid Asha'ar Bait Bazi ~*~

            Eid ke chaand ko dekh ker
            Mere lub kap'kapaaye
            Per yeh dua
            Is saal bhi mere hoton se azaad na hui
            ke
            Aye Khuda!!!
            ab ke mujhe chaand me us ka chehra
            dikhaai na de....

            Comment


            • #21
              Re: ~*~ Eid Asha'ar Bait Bazi ~*~

              Chand dekha teri aankhon me na hooton pe shafaq
              Milti julti hai shab-e-ghum se teri deed ab ke
              dil dukha hai, na woh pehla sa, na jaan tadpi hai
              Hum hi ghaafil the ke, aayee hi nahi Eid ab ke ..

              Comment


              • #22
                Re: ~*~ Eid Asha'ar Bait Bazi ~*~

                I aM Not a complete Idiot......Some parts are Missing........

                Comment


                • #23
                  Re: ~*~ Eid Asha'ar Bait Bazi ~*~

                  Is meharbaan ki nazr-e-inayat ka shukria
                  Tohfa diya hai Eid pe hum ko judaaii ka

                  Comment


                  • #24
                    Re: ~*~ Eid Asha'ar Bait Bazi ~*~

                    Aane wali ruton ke aanchal me
                    Koi saaet-e-sayed kia ho gi
                    Gul na ho ga to jashn-e-khushbu kaisa ?
                    Tum na ho ge to Eid kia ho gi...




                    Comment


                    • #25
                      Re: ~*~ Eid Asha'ar Bait Bazi ~*~

                      I aM Not a complete Idiot......Some parts are Missing........

                      Comment


                      • #26
                        Re: ~*~ Eid Asha'ar Bait Bazi ~*~

                        Ahbaab pochhte hen barhi saadgi ke saath
                        Tu ab ke saal Eid manaye- ga kis tarah?


                        Comment


                        • #27
                          Re: ~*~ Eid Asha'ar Bait Bazi ~*~

                          I aM Not a complete Idiot......Some parts are Missing........

                          Comment


                          • #28
                            Re: ~*~ Eid Asha'ar Bait Bazi ~*~

                            Wafa ka sandes le kar utre tumhare aangan me
                            Gawaah rafaqton ka, Muhabbaton ka ban kar Hilaal-e-Eid

                            Comment


                            • #29
                              Re: ~*~ Eid Asha'ar Bait Bazi ~*~

                              Khud chand unhy ki deed ki chaah me hazir-e-Khidmat hota hai
                              Woh chaand ki nazron me aayen ,Ek rashk ka aalam hota hai
                              Kiya tum ko batayen hum yaaron kiya zeest ka aalam hota hai,
                              Jub uth'te hen un ke hina-e-haath aur adab se sar kham hota hai....


                              Comment


                              • #30
                                Re: ~*~ Eid Asha'ar Bait Bazi ~*~

                                Ghum hi Ghum hen teri ummid me kia rakha hai
                                Eid aaya kare ab Eid me kia rakha hai?

                                Comment

                                Working...
                                X