Ye kochay ye nelam ghar dilkashi ke
Ye lut-tey huye karwan zindagi ke
Kahan hain kahan hain muhafiz khuvi ke
Sana khan-e taqdees-e mashriq kahan hain
Ye pur paich galian ye bekhab bazar
Ye gumnam rahi ye sikkon ki jhankaar
Ye asmat ke saudey ye saudon pe takrar

Ta,uffan se purnem roshan ye galian
Ye masli hui adh khili zard kalian
Ye bikti hui khokhali rang ralian

Woh ujle dareechon mein payal ki chan chan
Tanaffass ki uljhan pe tabley ki dhan dhan
Ye beroh kamron mein khansi ki than than

Ye gonjay huye qehqahey raston par
Ye charon taraf bheer si khirkiun par
Ye awaz se khinchtey huye anchalon par

Ye pholon ke gajrey ye paikon ke cheentey
Ye bebaak nazrain ye gustakh fiqrey
Ye dhalkey badan aur ye madqooq chehray

Ye bhooki nigahein haseenon ki janib
Ye bartey huye haath seenon ki janib
Lapaktey huye paon zeenon ki janib

Yahan peer bhi aachukey hain jawan bhi
Tanomand baitey bhi abba mian bhi
Ye bivi bhi hai aur behan bhi hai maan bhi

Madad chahti hai ye Hawwa ki baiti
Yashuda ki humjinss raadha ki baiti
Peyambbar(saw) ki ummat, Zulekha ki baiti

Zara mulk ke rehbaron ko bulao
Ye galian ye kochay ye manzar dikhao
Sana khan-e taqdees-e mashriq ko lao

A Great message by Sahir Ludheanvi

Comment