Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Is Maah Ka Lafz "Wehshat"

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Is Maah Ka Lafz "Wehshat"

    Asalam-o-Alikum


    Is Maah Ka Lafz hai "Wehshat"

    Jis Main Lafz "Wehshat" Ata ho Wo A'shaar Share karney Hain


    Khush Rahiye

    Wa.Salaam :rose
    Zindagi Thak Gaye ..!!

  • #2
    Re: Is Maah Ka Lafz "Wehshat"

    Jaise Jaise Shaam Dhaley Gi
    Dil Ki Wehshat Aur Barhey Gi
    Zindagi Thak Gaye ..!!

    Comment


    • #3
      Re: Is Maah Ka Lafz "Wehshat"

      Kia Kisi Wehshat Zada Mausaam Ka Tum Ko Khouf Hai
      Kis Liye Khamohs Ho Kholo Na Dil Ki Khirkiyan
      Zindagi Thak Gaye ..!!

      Comment


      • #4
        Re: Is Maah Ka Lafz "Wehshat"

        Ishq Mujhko Naheen, Wehshat Hee Sahee
        Meree Wehshat, Teree Shohrat Hee Sahee

        Ham Bhee Dushman To Naheen Hain Apne
        Ghair Ko Tujh Se Mohabbat Hee Sahee

        Comment


        • #5
          Re: Is Maah Ka Lafz "Wehshat"

          Baarishon ke mausam main Waqt ke andheron main
          Maine us se poocha tha Chorr to na jaoge

          Haath tham ker us ne Kaan main yeh bola tha
          Kaise chorr sakta hoon Tum to Jaan ho meri
          Aur aaj aisa hai Waqt ki tamazat main
          Wehshaton ke Mausam main Maine us se poocha hai
          Chorr kar hi jaana tha Muskurati galiyon main
          Aas kyun dilayi thi Pyaas kyun jagayi thi
          Mere in sawalon per Na woh chonka na woh thehra
          Chalte chalte itna kaha Mausamon ke khel hain sab

          Comment


          • #6
            Re: Is Maah Ka Lafz "Wehshat"

            Jab koi Din mai Shaam kare, Ya Lab ki Hansi Badnaam kare
            Jab Wehshat dil ke Naam kare, Ya Aankh mai Neend Haram kare

            Mat Tanha Tanha Gabhrana, Tum Paas Hamaray aa jana

            Comment


            • #7
              Re: Is Maah Ka Lafz "Wehshat"

              her cheez ikhtiar main rakhta hai woh magar
              dil se rehai pane pe qudrat usse nahin.


              sehra ke her waraq pe tehreer hai us ka naam
              kal tak jo keh raha tha ke wehshat usse nahin


              Comment


              • #8
                Re: Is Maah Ka Lafz "Wehshat"

                Meri Wehshaton ko barha dya hai Judaiyon k Azab ne
                Mere Dil pe Haath rakho zara, Meri Dharkano ko Qarar do
                Wahan Ghar mai Kon hai Muntazir, Kise Fikar Dair Sawer ki
                Bari Mukhtasar si yeh Raat hai, ise Chandni mai Guzar lo

                Comment


                • #9
                  Re: Is Maah Ka Lafz "Wehshat"

                  Tum kia jano,
                  Qatrah qatrah dil main utarti aur pighalti

                  Raat ki suhbat kia hoti hai!
                  "Aankhain sarey khawab bujha dain
                  Chehray apney naqsh gunwa dain
                  Aur Aainay aks bhula dain
                  Aisay main umeed ki wehshat
                  dard ki surat kia hoti hai!

                  Comment


                  • #10
                    Re: Is Maah Ka Lafz "Wehshat"

                    Zikr-e-Shab- e-Firaaq Se Wehshat Usay Bhi Thi
                    Meri Tarha Kisi Se Mohabbat Usay Bhi Thi
                    Mujhko Bhi Shoq Tha Naye Chehron Ki Deed Ka
                    Raasta Badal K Chalne Ki Aadat Usay Bhi Thi

                    Comment


                    • #11
                      Re: Is Maah Ka Lafz "Wehshat"

                      meri wehshatoon ko badda diya hia judaion keh azaab ne
                      mera dil pe haath rakho zara meri dharkanoon ko sanwaar do

                      tumhian subah kaisi lagi meri khawahishoon keh dariya ki
                      jo bhali laga to yahin raho isse chahtoon se nikhaar do

                      Comment


                      • #12
                        Re: Is Maah Ka Lafz "Wehshat"

                        Mein wehshaton kai safar mein bhi kahan tanha
                        Yahi gumaan hai koi aas pass rehta hai


                        Mein guftugo kai her andaz ko samhajta houn
                        Ke meri zaat mein lehja- shanas rehta hai

                        Comment


                        • #13
                          Re: Is Maah Ka Lafz "Wehshat"

                          Dil pe ek tarfa qayaamat karna
                          muskurate hue rukhsat karna

                          achchi aankhein jo mili hain usko
                          kuch to laazim hua wehshat karna

                          Comment


                          • #14
                            Re: Is Maah Ka Lafz "Wehshat"

                            Khayal-o-Khavab howi hain muhabbatein kaisi
                            lahuu me.n naach rahii.n hai.n ye vahashatein kaisi

                            na shab ko chaaNd hai achaa na din ko mehar achaa
                            ye ham pe beet rahii hain qayamatein kaisi

                            Comment

                            Working...
                            X