Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Is Maah Ka Lafz "Hijr"

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Is Maah Ka Lafz "Hijr"

    Hijr:rose
    Attached Files
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #32
      Re: Is Maah Ka Lafz "Hijr"

      Wo Nazar Kay Pass Tha Tu Yeh Haqeeqat-e-Na'Shanas
      Hijr Se Na'Ashna Dil , Be'Khud-o-Mastana Tha
      Zindagi Thak Gaye ..!!

      Comment


      • #33
        Re: Is Maah Ka Lafz "Hijr"

        pyaar k deep jalaany waly kuch kuch pagal hoty hain
        apni jaan se janay walay kuch kuch pagal hoty hain
        Hijr k gehry zakhm mily to mujko yay ahsaas hoa
        pagal ko samjhany waly kuch kuch pagal hoty hain

        Comment


        • #34
          Re: Is Maah Ka Lafz "Hijr"

          keyu hijar ka shikva karta ha
          keyu darad ka ronay rota ha
          ab payar keya ha to sabar be kar
          es payar ma too yahi kush hota ha
          sigpic

          Comment


          • #35
            Re: Is Maah Ka Lafz "Hijr"

            Assalam-o- Allaikum sub ko waah ji waaa kia khoob sharing ki hai sab ne:rose

            main bhi kuch kar hi lunnnnnnnnnnn phir .....:)




            Hijar mein khun rulatye ho kahaan hotye ho ?
            loot kar kyun nehi atye kahaan hotye ho ?

            jab bhi milta hae kio shakhass baharoon jeysa
            mujh ko tum kesye bhulatye ho kahaan hotye ho ?

            yaad aatii hain akylye mein tumhari neendain
            kis tarha khud ko sulatye ho kahaan hotye ho ?

            mujh se bhichrye ho toh mehbub-e-nazar ho kis k ?
            ajh kal kis ko maanatye ho kahaan hotye ho ?

            shab ki tanhaai mein aksar yeh khiyal aata hae
            apne dukh kis ko sunatye ho kahaan hotye ho ?

            mosam-e-gul mein hijar ka nasha bhar jata hae
            mere sab hosh churatye ho kahaan hotye ho ?

            sard ratoon mein tumhain kesye bhula sakti hun ?
            aag si dil mein lagatye ho kahaan hotye ho ?

            tum toh khushiyoon ki rafaqt k liye bhichrye thye
            ab agar aashq bahatye ho kahaan hotye ho ?

            shehar k log bhi ab yehi sawal kartye hain
            ab bohat kaam nazar atye ho kahaan hotye ho ?

            Comment


            • #36
              Re: Is Maah Ka Lafz "Hijr"



              aik aor...

              Khalish-e-hijr-e-daayamii na gai
              tere ruKh se ye beruKhii na gai

              puuchhate hai.n ke kyaa huaa dil ko
              husn vaalo.n kii saadagii na gai

              sar se saudaa gayaa muhabbat kaa
              dil se par is kii bekalii na gai

              aur sab kii hikaayate.n kah dii.n
              baat apanii kabhii kahii na gai


              ham bhii ghar se 'Munir' tab nikale
              baat apano.n kii jab sahii na gai


              humaish khush rehen :dua

              Comment


              • #37
                Re: Is Maah Ka Lafz "Hijr"

                :rose
                kab say hon kya bataoon jahan e kharab may
                shab haaye hijr ko bhi rakhoon gar hisaab may

                ta phir na intizar may neend aaye na umr bhar
                aane ka ahad kar gaye aaye jo khwab may

                mirza ghallib....
                :rose

                Comment


                • #38
                  Re: Is Maah Ka Lafz "Hijr"

                  hijar ki shab ka kisi asam se katna mushkil

                  chaand pora hai to derd ka ghatna mushkil

                  mojaye khuwaab hai wo, uss ke thikane

                  maloom aab gaya hai to ye samjho ke palatna mushkil

                  jin darakhton ki jaren dil mein utar jaati hain

                  unn ka aandhi ki daranti se bhi katna muskil

                  uss se milte hue chehre bhi buht hone lage

                  shehr ke shehr se ikk saath nipatna mushkil

                  ab ke bhi khushboo pay kuch naam they pehle se likhe

                  aab ke bhi fasal ke dehkano mein batna mushkil

                  Comment


                  • #39
                    Re: Is Maah Ka Lafz "Hijr"


                    "@"
                    wo shakhs mujh ko jeet k hara hai aur bus
                    itna he zindagi ka khasara hai aur bus
                    "@"
                    kesay kahooN k us ka irada badal gaya
                    such to yehi hai us nay pukara hai aur bus
                    "@"
                    duni'ya ko is main dard ki shiddat kahan milay

                    "@"
                    lafzoN main dard e hijr ko mehsoos ker kay daikh
                    kehnay ko main nay waqt guzara hai aur bus
                    "@"
                    ab in maiN koi khwab sajanay nahiN mujhay
                    ankhoN ko intazar tumhara hai aur bus
                    "@"
                    maiN nay kaha k khwab maiN dekhi hain barishain
                    us nay kaha k aik isharaa hai aur bus
                    "@"

                    Comment


                    • #40
                      Re: Is Maah Ka Lafz "Hijr"

                      dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho
                      iss baat say hamko kya matlab ye kaise ho, ye kyunkar ho

                      ik bheek ke dono kasey hein, ik pyas ke dono pyaley hein
                      ham kheti hein tum badal ho, ham nadya hein tum sagar ho

                      ye dil hai ke jalte seene mein aik dard ka phora alhar sa
                      na geet rahey na phoot bahey, koi marham ho koi nishtar ho

                      ham sanjh samey ki chaya hein, tum charhti raat ki chandarma
                      ham jatey hein tum aatey ho, phir mail ki surat kyunkar ho

                      ab husn ka rutba aali hai, ab husn se sehra khali hai
                      chal basti mei banjara ban, chal nagri mein sodagar ho

                      wo raatein chand ke saath gayeein, woh baatein chand ke saath gayeein
                      ab sukh ke sapne kya dekhein jab dukh ka suraj sar par ho

                      ab insha ji ko bulana kya, ab pyar ke deep jalana kya
                      jab dhoop aur chaya aik se hon, jab din aur raat barabar ho..

                      Comment

                      Working...
                      X