Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Hum Jo Tareek Rahon Mein Marey Gaey

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Hum Jo Tareek Rahon Mein Marey Gaey

    Tere hontn ke phoolon ki chahut mein hum
    Daar ki khushuk tahni pe warey gaey
    Tere hathon ki shamon ki hasrut mein hum
    Neem tareek rahon mein marey gaey
    Soolion pur hamaray labon se parey
    Tere honton ki laali tapakti rahi
    Teri zulfon ki masti burusti rahi
    Tere hathon ki chandi damakti rahi
    Jub ghuli teri rahon mein sham-e-situm
    Hum chale a'aey la'aey jahan tuk qadum
    Lub pe harf-e-ghazul dil mein kandeel-e-ghum
    Apna ghum tha gawahi tere husun ki
    Daikh qaiem rahay iss gawahi pe hum
    Hum jo tareek rahon mein maraey gaey
    Naarsaei agur apni taqdeer thi
    Teri ulfut to apni hi tadbeer thi
    Kiss ko shikwa hai gur shock ke silsilay
    Hijur ki qatul gahon se sub ja milay
    Qatul gahon se chun kur hamarey ilum
    Aur niklain gaey eishaaq ke kafaley
    Jin ki rah-e-talub se hamarey qadum
    Mukhtassur kur chalaey dard ke fasaley
    Kur chaley jin ki khatur jahangeer hum
    Jaan gunwa kur teri dilbari ka bharum
    Hum jo tareek rahon mein marey gaey
    Zindgi iss baar mera naam na shamil krna
    Agur ye tae hai ke yahi khail rahe ga
Working...
X