Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Hurf "Zey" sey shorrow honey waley Ashaar

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Hurf "Zey" sey shorrow honey waley Ashaar

    Zindagi jaise ek sazaa si ho gayi hai,

    gham ke sagar mein kuch is kadar kho gayi hai,

    tum aajao waapis yeh guzaarish hai meri,

    shayad mujhe tumhaari aadat si ho gayi hai .

    sigpic


    Comment


    • #17
      Re: Hurf "Zey" sey shorrow honey waley Ashaar

      Zindagi se wafa hamne bhi ki hai bahot

      par gamon ke siva aur kuch mila bhi to nahi

      ek tujhko paakar bahut khush tha main

      par saath tera manzil tak mila bhi to nahi.

      sigpic


      Comment


      • #18
        Re: Hurf "Zey" sey shorrow honey waley Ashaar

        Zindagi to ek khwab hai,
        Woh zindagi kiya jismay khwab nahi hotay,
        Hath ke lakiron ko kismat na samajhna,
        Kismat unke bhi hote hai, zinkay hath nahi hotay.


        Last edited by Wafa; 4 August 2007, 18:36.
        sigpic


        Comment


        • #19
          Re: Hurf "Zey" sey shorrow honey waley Ashaar

          zindagi ki gehraiyon ko samajhna koi khel nahi,
          har gam se muskuraakar nipatna koi khel nahi,
          gairon ko chhodo kab apne chot de janye,
          mehfilon me rehkar tanha jeena koi khel nahi.



          sigpic


          Comment


          • #20
            Re: Hurf "Zey" sey shorrow honey waley Ashaar

            Mohsin Naqvi ka aik shair...
            Attached Files
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #21
              Re: Hurf "Zey" sey shorrow honey waley Ashaar

              Muneer Niyazi ka aik shair:
              Attached Files
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • #22
                Re: Hurf "Zey" sey shorrow honey waley Ashaar

                :thmbup:
                Attached Files
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • #23
                  Re: Hurf "Zey" sey shorrow honey waley Ashaar

                  :salam:
                  Attached Files

                  Comment


                  • #24
                    Re: Hurf "Zey" sey shorrow honey waley Ashaar

                    :blush:
                    Attached Files

                    Comment


                    • #25
                      Re: Hurf "Zey" sey shorrow honey waley Ashaar

                      Zindagi aik chahat ka silsila hai
                      koi mil gaya koe bichar gaya
                      jisay manga tha humne apni dua'on mai
                      vo kise ko bina mangy he mil gaya

                      Comment


                      • #26
                        Re: Hurf "Zey" sey shorrow honey waley Ashaar

                        Attached Files

                        Comment


                        • #27
                          Re: Hurf "Zey" sey shorrow honey waley Ashaar

                          Zada ghour acha nahe aise baton per
                          kise ka naam likh likh ker mitana oski adat hai
                          mohabat ma wo sanjeeda hai kitna dekhty rehna
                          mohabbat yon her kise sy jatana oski adat hai

                          Comment


                          • #28
                            Re: Hurf "Zey" sey shorrow honey waley Ashaar

                            Zindagi Orh Kay Baithi The Rida-e-Shab-e-Ghum
                            Tera Ghum Taink Diya Hum Nay Sitaray Ki Misaal
                            Zindagi Thak Gaye ..!!

                            Comment


                            • #29
                              Re: Hurf "Zey" sey shorrow honey waley Ashaar

                              zindagi yun hoi baser tanha
                              qafila sath aur safer tanha

                              Comment


                              • #30
                                Re: Hurf "Zey" sey shorrow honey waley Ashaar

                                Ziker shab - e - firaaq say wahshat usay bhe the
                                mere tarah kise se mohabbat usay bhe thee
                                mujhko bhe shooq tha na'ay chahron ki deed ka
                                rasta badal kay chalny ki adat usay bhe the

                                Comment

                                Working...
                                X