Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Is Maah (July)ka lafz ''chahoo/saaya''

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Is Maah (July)ka lafz ''chahoo/saaya''

    Assalam O aliukum,

    Jaisa k ap sab is silsiley se waqif hain ..
    ke titile word jo diya hai hai .. us ko jin ashaar mein use kia gia hai
    wo yehan per post keejye ..so is maah ka lafz hai
    "''chahoo/Saaya''


    App sub ki sharings ka intezar rahey gaa :salam:


  • #2
    Re: Is Maah (July)ka lafz ''chahoo/saaya''

    Comment


    • #3

      Comment


      • #4
        Re: Is Maah (July)ka lafz ''chahoo/saaya''

        Jenay ko sub jetay hain
        Her saya zukhmi
        Jungle kay punshi
        Chup kay keydi
        Burbat kay nagmay
        Dur ka sholay petay hain
        Last edited by musaddaq; 2 July 2007, 11:15.

        Comment


        • #5
          Re: Is Maah (July)ka lafz ''chahoo/saaya''

          Jalti bujhti roshniyon mein saya saya jalta hai
          Ubal raha hai zahar ragon mein maut ka nasha chhaya hai
          Sara manzar nuqta nuqta mohmal mohmal lagta hai
          Elipena sach kahta tha; Yeh koi bhoot basera hai.

          Comment


          • #6
            Re: Is Maah (July)ka lafz ''chahoo/saaya''

            chamak uthay hein salasil to hum nay jana
            kay ab sahar teray rukh pe bikhar gayi ho gi
            gharaz tasavur sham o sahar mein jitay hein
            girift saya-e-divar o dar mein jitay hein

            Comment


            • #7
              Re: Is Maah (July)ka lafz ''chahoo/saaya''

              hal e dil hum bhi sunatay lekin
              jab woh rukhsat hua tab yaad aya
              beth kar saya-e-gul mein nasir
              hum buhat roye woh jab yaad aya

              Comment


              • #8
                Re: Is Maah (July)ka lafz ''chahoo/saaya''

                Ous ki aankh mein aik saya hae
                Choot kha kar jo muskuraya hae
                Yaad ban kar jo rach gaya khuon mein
                Ous ko sach muchh bohat bhulaya hae
                Choot kha kar jo muskuraya hae

                Comment


                • #9
                  Re: Is Maah (July)ka lafz ''chahoo/saaya''

                  Main Jidher Gia Main Jahan Raha
                  Maray Saath Thaa
                  Wouhi Aik Saya-E-Mahrbaan
                  Wou Jou Aik Parda-E-Abr Thaa Sar-E-Asmaan
                  Pas-E-Her-Gumaan
                  Wou Jou Aik Harf-E-Yaqeen Thaa
                  Maray Her Safar Kaa Ameen Thaa
                  Wou Jou Aik Baagh-E-Irum-Numa
                  Sabhi Mosamon Main Hara Raha

                  Comment


                  • #10
                    Re: Is Maah (July)ka lafz ''chahoo/saaya''

                    gham k andhere mai tujhko
                    apna sath kio manoo
                    tu to phir tuu hai
                    mera to saya bhi mere sath nahi

                    Comment


                    • #11
                      Re: Is Maah (July)ka lafz ''chahoo/saaya''

                      dhoop mein kho gya woh hath chhura ker,
                      gher se jo sath chala tha mera saya ban ker,
                      kabhi ansu,kabhi khushbu,kabhi naghma ban ker,
                      hum se her shaam mili hai tera chehra ban ker.....

                      Comment


                      • #12
                        Re: Is Maah (July)ka lafz ''chahoo/saaya''

                        phir yaad bohat aai gee zulfon ki ghani shaam
                        jab dhoop mein saya koi sar par na milay ga

                        ansoo ko kabhi oos ka khatra na samajhna
                        aisa tumhain chahat ka samandar na milay ga

                        Comment


                        • #13
                          Re: Is Maah (July)ka lafz ''chahoo/saaya''

                          is khuaab k mahool mein bai khuaab hai ankhain
                          jab neend bohat aai gee bister na milay ga

                          yeh sooch loo ab aakhri saya hai mohabbat
                          is dar sai utho gai to koi dar na milay ga

                          Comment


                          • #14
                            Re: Is Maah (July)ka lafz ''chahoo/saaya''

                            Woh diya hoon jo mohabat nay jalaya tha kabhi
                            Gham ki andhi nay sar-e-sham bujhaya mujh ko

                            kaisay bhoolon ga wohi wasl kay lamhay
                            Yad aata raha zulfon ka hi saya mujh ko

                            Comment


                            • #15
                              Re: Is Maah (July)ka lafz ''chahoo/saaya''

                              In ki aadat hi nahen, Ik jagah peh rukna
                              In ki kismat hi nahen, Ik nagar main rehna
                              Ham bhi ik khawab hain aye jaan teri aankhoon main
                              Saya-e-abr tawajuh kay guman main rakhna

                              Comment

                              Working...
                              X