Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Is Maah (June) ka lafz "Badal"

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Is Maah (June) ka lafz "Badal"

    Assalam O aliukum,

    Jaisa k ap sab is silsiley se waqif hain ..
    ke titile word jo diya hai hai .. us ko jin ashaar mein use kia gia hai
    wo yehan per post keejye ..so is maah ka lafz hai "Badal"


    App sub ki sharings ka intezar rahey gaa :salam:




  • #2
    Re: Is Maah (June) ka lafz "Badal"

    Rukta bhi nahi, theek se chalta bhi nahi
    Yeh dil hai kay tere baad sambhalta hi nahi
    Is umar key sehra say teri yaad ka baadal
    Talta bhi nahi aur barasta bhi nahi
    For New Designers
    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

    Comment


    • #3
      Re: Is Maah (June) ka lafz "Badal"

      Merey naseeb ka awara badal
      tamam shehr pr barsa,merey gher k siwa

      Comment


      • #4
        Re: Is Maah (June) ka lafz "Badal"

        paidoon kii tarah husn kii baarish me.n nahaa loon
        baadal kii tarah jhuum ke ghir aao kisii din

        Comment


        • #5
          Re: Is Maah (June) ka lafz "Badal"

          Koi Baadal Naye Mausam ka phir Elaan karta hai
          Khizaan k Baagh mein jab ek bhi Patta nahi rehta
          Mohobbat ek Khushbu hai Hamesha saath rehti hai
          Koi Insaan Tanhai mein b Tanha nahi rehta
          Last edited by amber; 10 June 2007, 15:37.

          Comment


          • #6
            Re: Is Maah (June) ka lafz "Badal"

            Hum ney suna thaa sehan chaman main kaif k badal chahye hain
            Hum bhi gaye they jii behlaney,ashk baha kr laye hainn

            Comment


            • #7
              Re: Is Maah (June) ka lafz "Badal"

              Dur tak chahye they badal or kahi saaya na thaa
              is tarha barsat kamausam kabhi aya naa thaa

              Comment


              • #8
                Re: Is Maah (June) ka lafz "Badal"

                Badal ki tarah guzro mairay dil ki galli sai
                khushbo ki trah mujh pai baras jao kisi din
                Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                Comment


                • #9
                  Re: Is Maah (June) ka lafz "Badal"

                  :rose Wa Alikum Assalam:rose

                  Koan kis ki Khatir day ga itni Sachchi Qurbani
                  Badal sabki Pyas Bujha kar Khud Pyasa rehjata hay
                  :rose :alhamd: :rose
                  Yeh Dunya hay yehan ik doosray kay kaam Ajao
                  yehan kay baad to bas apna apna bojh uthana hay
                  :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose

                  Comment

                  Working...
                  X