Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

"Rey" se shuroo Honey waley Asha'r

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: "Rey" se shuroo Honey waley Asha'r

    Rooth jaate ho to kuch aur haseen lagte ho
    Hum ne ye sooch kar hi tum ko khafa rakha hai
    Saans tuk bhi nahi lete tujhe soochte waqt
    Hum ne is kaam ko bhi kal per utha rakha hai

    Comment


    • #62
      Re: "Rey" se shuroo Honey waley Asha'r

      Ruth tu aai hai ab mil k bicher jaanay ki
      Tum nay kia saoch k Chahargoun ko jala rakah hai
      Huma's

      Comment


      • #63
        Re: "Rey" se shuroo Honey waley Asha'r

        Raiyga nahi jaati DIL pe jo guzarti hai
        Aadmi bikharta hai, shayri nikharti hai

        Comment


        • #64
          Re: "Rey" se shuroo Honey waley Asha'r

          Rah-e talab mein aaj yeh kia moajza howa
          khawab-e adam mein jo b giya jagta giya

          Comment


          • #65
            Re: "Rey" se shuroo Honey waley Asha'r

            Roone se kya hasil aae Dil-e-sodaaii
            Ankho ki bhi ruswaii Daman ki bhi ruswaii
            Hum log samandar ke bichray howe sahil hain
            Is paar bhi tanhaii us paar bhi tanhaii

            Comment


            • #66
              Re: "Rey" se shuroo Honey waley Asha'r

              Rah-e hiyat mein wo milay thay tu ek bar
              laikn Onn se baat cheet buhat mukhtasir hoi

              Comment


              • #67
                Re: "Rey" se shuroo Honey waley Asha'r

                Ruka hua hai ajab dhoop chaon ka mausam
                Guzar raha hai koi dil se baadlon ki tarah

                Comment


                • #68
                  Re: "Rey" se shuroo Honey waley Asha'r

                  Rouk leytay hum oss abr-e bey karan Ko huma
                  gar onn kay ruknay ka koi yaqeen hum ko hota

                  Comment


                  • #69
                    Re: "Rey" se shuroo Honey waley Asha'r


                    rachi hai mere jisam me tamaam din ki thakan
                    Abhi to raat ka lamba safar bhi aaye ga

                    Comment


                    • #70
                      Re: "Rey" se shuroo Honey waley Asha'r

                      Rawan hai qafila ab tu chaand taroun ka
                      Chalo k aaj Musafit mein hum b shamil houn

                      Comment


                      • #71
                        Re: "Rey" se shuroo Honey waley Asha'r

                        Rafaqaton ke silsilay toot na jaayen kahin,
                        Kabhi kabhi milney ka silsila rakhna,
                        Mana ke aur bhi log hain kareeb tere,
                        Magar meri zaat ko aouron se juda rakhna

                        Comment


                        • #72
                          Re: "Rey" se shuroo Honey waley Asha'r

                          Rihsta hamara onn se Koi tha nahi magar
                          Yadoun k nagar mein hum Kitnay qareeb thay
                          Huma's

                          Comment


                          • #73
                            Re: "Rey" se shuroo Honey waley Asha'r

                            Raat kay bheegnay tak neend nahi aayi ho gi tujhay
                            Tu nay takiye ko bhi bahon main chupaya ho ga...
                            Poocha ho ga jo kisi nay teri haalat ka sabub
                            Tu nay baaton main usay khoob chupaya ho ga !!!

                            Comment


                            • #74
                              Re: "Rey" se shuroo Honey waley Asha'r

                              Raaz-e-Ulfat chhupa key dekh liya
                              dil bohat kuchh jala key dekh liya
                              aur kya dekhney ko baaqi hai
                              aap sey dil laga key dekh liya
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment


                              • #75
                                Re: "Rey" se shuroo Honey waley Asha'r

                                Raat baaqi thii jab vo bichray thay
                                kaTT gai umr raat baaqii hai

                                Comment

                                Working...
                                X