Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Lafz Sey Ashaar

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Lafz Sey Ashaar

    Assalamo allaikum

    Is thread mein ham last post kiyey huwey shair mein sey koi aik lafz ley kar agla shair likhein ge. To aaghaz mein main apna aik shair pesh karta hoon:


    Sadiyaan beeti hain wasl-e-yaar ka intizaar kartey kartey
    saba ki manind waqt guzra deedar-e-yaar kartey kartey
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Lafz Sey Ashaar

    Acha silsila start kya hay.........jawab aapke sign main aik sher laga hua karta tha Faiz Ahmed Faiz ka us se karta hoon
    aur bhi gham hain zamane main muhabbat ke siwa
    rahetin aur bhi hain wasl ki rahat ke siwa
    Last edited by Yaaram; 31 August 2005, 22:37.
    Allah

    Comment


    • #3
      Re: Lafz Sey Ashaar

      Wafa ka naam rah jaey ga lekin ham nahin hon ge
      zamaney ko muhabbat key fasaney yaad aaein ge
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #4
        Re: Lafz Sey Ashaar

        Wafa ke naam per koi is qadar mashour ho jayeh
        Wafa karey koi aur bewafa mashour ho jayeh
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: Lafz Sey Ashaar

          ab teray zikr pay hum baat badal detay hain
          kitni ragbat thi teray naam say pehlay pehlay

          Comment


          • #6
            Re: Lafz Sey Ashaar

            Main janta hoon keh duniya tujhey BADAL dey gi
            main maanta hoon keh aisa nahin bazahir tu
            Faraz
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #7
              Re: Lafz Sey Ashaar

              daaG duniyaa ne diye zaKhm zamaane se mile
              ham ko ye tohafe tumhe.n dost banaane se mile
              kaise maane ke unhe.n bhuul gayaa tuu ai 'Kaif'
              un ke Khat aaj hame.n tere sarahaane se mile

              Comment


              • #8
                Re: Lafz Sey Ashaar

                Ham ko jhuka sakey zamaney mein dam nahin
                ham sey hai zamana, zamaney sey ham nahin
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • #9
                  Re: Lafz Sey Ashaar

                  Nahi hai tum say koi dosti bhi ab tou magar
                  kadam kadam pe ye kaisa vabaal aya hai

                  Comment


                  • #10
                    Re: Lafz Sey Ashaar

                    issey dekha to zahid ney kaha, eeman ki yeh hai
                    keh ab insaan ko sajdah rawa honey ka waqt aaya
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • #11
                      Re: Lafz Sey Ashaar

                      Yeh bhi Mumkin hai kisi roz na pehchanoN use
                      wo jo har bar naya bhes badal leta hai
                      Allah

                      Comment


                      • #12
                        Re: Lafz Sey Ashaar

                        Yun to pather ki bhi taqdeer BADAL sakti hai
                        shart yeh hai keh issey dil sey tarasha jaey
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • #13
                          Re: Lafz Sey Ashaar

                          Originally posted by Masood
                          Yun to pather ki bhi taqdeer BADAL sakti hai
                          shart yeh hai keh issey dil sey tarasha jaey
                          sahee kaha :wink

                          aik qatra to kya hum dariya bhi uske naam kar dete
                          woh kehta to sahi aik baar pyaasey lehjey mein
                          :rose

                          Comment


                          • #14
                            Re: Lafz Sey Ashaar

                            Originally posted by Mehak
                            sahee kaha :wink

                            aik qatra to kya hum dariya bhi uske naam kar dete
                            woh kehta to sahi aik baar pyaasey lehjey mein
                            :)


                            Jaa samunder dekh li ham ney bhi teri darya dili
                            tishna lab rakha sadaf ko boondh paani key liye
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • #15
                              Re: Lafz Sey Ashaar

                              samander

                              saahil pay to hoan gay sab kay apnay apnay loag
                              reh ja'ay gee kashti kee her baat samander mein

                              Comment

                              Working...
                              X