Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Is Maah (Feb.) Ka Lafz.."Khushi"

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Is Maah (Feb.) Ka Lafz.."Khushi"

    Assalam O Aliukum,

    is maah jo ashaar ham is thread mian post karen ge un ka unwaan hai "KHUSHI" ... aap sab yehan pe wo ashaar post ker saktey hein ji main Lafz "Khushi" istimaan hua ho ... shukryaa ...


    Topic of the Month: "KHUSHI"

    shuroo kertey hein:


    Khushii ne mujh ko Thukaraayaa hai ranj-o-Gam ne paalaa hai
    gulo.n ne beruKhii kii hai to kaa.NTo.n ne sambhaalaa hai


    Poet: Ali Ahmed Jalili

    Visit My Early PS Work
    You Are Welcome To Comment

  • #2
    Re: Is Maah (Feb.) Ka Lafz.."Khushi"

    Khush rahe yaa bahut udaas rahe
    zindagii tere aas paas rahe
    Visit My Early PS Work
    You Are Welcome To Comment

    Comment


    • #3
      Re: Is Maah (Feb.) Ka Lafz.."Khushi"

      Khushiyaa.N hamaarii sar-e-daar tak ga_ii.n
      rusvaa_iyaa.N bhii kuuchaa-o-baazaar tak ga_ii.n
      Visit My Early PS Work
      You Are Welcome To Comment

      Comment


      • #4
        Re: Is Maah (Feb.) Ka Lafz.."Khushi"

        Khuda se thoda rahem kharid lete,
        aap ke zakhmo ka marham kharid lete,
        agar kahin kabhi bikti khushiyan meri,
        to saari bechkar aapka har gam kharid lete

        Comment


        • #5
          Re: Is Maah (Feb.) Ka Lafz.."Khushi"

          Terey wadey pey jiya hum tu yeh jan jhoot jana
          K khushi sey mar na jatey gar aitebar hotaa

          Comment


          • #6
            Re: Is Maah (Feb.) Ka Lafz.."Khushi"

            Yeh zindagi bari ajeeb si Kabhi gulzar si kabhi bezar Si

            Kabhi khushi hamaray sath sath Kabhi gammon ki Barsat si

            Yeh zindagi bari ajeeb si

            Kabhi to tofanon main Bhi hain rastay Kabhi manzilon ka pata nahi

            Kabhi do Kadam pay zindagi Kabhi saddeuon tak intizar si

            Comment


            • #7
              Re: Is Maah (Feb.) Ka Lafz.."Khushi"

              Khushi milee to kayee dard mujh se rooth gaye
              dosto dua karo kay main phir se uddas ho joan

              Comment


              • #8
                Re: Is Maah (Feb.) Ka Lafz.."Khushi"

                khushi ka gam hy nah gam ki khushi ab to
                boht udaaas guzarti hay zindagi ab tooo

                Comment


                • #9
                  Re: Is Maah (Feb.) Ka Lafz.."Khushi"

                  khushi meli to keian gham mug sa rooth gaa

                  dua karo main pher sa dukhi ho joon

                  Anjum Pardesi from Sharjah

                  Comment


                  • #10
                    Re: Is Maah (Feb.) Ka Lafz.."Khushi"

                    KHUSHION per fizaon ka pehra hai,
                    Najany kiss umeed py DIL tahra hai,
                    Teri ankhoon sy jhalakty huawy dard ki qasm yeh
                    Dosti ka risht sub sy gehra hai:rose

                    Comment


                    • #11
                      Re: Is Maah (Feb.) Ka Lafz.."Khushi"

                      Shab-e-visaal hia, gull ker do in chiraaghon ko,
                      Khushi ki bazm main kya kaam jalne waloon ka

                      Comment


                      • #12
                        Re: Is Maah (Feb.) Ka Lafz.."Khushi"

                        khush rehnay k hazaar bahaanay hein dohr mein
                        meray zameeer mein hay magar gham ki chaashni

                        Comment


                        • #13
                          Re: Is Maah (Feb.) Ka Lafz.."Khushi"

                          Ab ranj say khushi say, bahaar phiza say kya
                          Mehv-e-khayal-e-yaar hain, humko jahan say kya

                          Comment


                          • #14
                            Re: Is Maah (Feb.) Ka Lafz.."Khushi"

                            Khushi hay aankh ka aansoo Jo Jhilmilata rahay
                            Meri nazar mein sitaray , Meray Laboun pay Hansi
                            Huma

                            Comment


                            • #15
                              Re: Is Maah (Feb.) Ka Lafz.."Khushi"

                              Originally posted by ESR View Post
                              KHUSHION per fizaon ka pehra hai,
                              Najany kiss umeed py DIL tahra hai,
                              Teri ankhoon sy jhalakty huawy dard ki qasm yeh
                              Dosti ka risht sub sy gehra hai:rose
                              Good :rose

                              Comment

                              Working...
                              X