Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

    umar bhar ek rawish par rahe gamzan
    ek rasam-e wafathi,nibhate rahe

    Comment


    • Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

      Terey Maqtal bhi hum hi sey abad
      Hum bhi zinda hia duwa sey teri
      Tu bhi nadim hia zamaney sey Faraz
      Woh bhi nakhush hai wafa sey teri

      Comment


      • Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

        Originally posted by Khushi View Post
        Wafa main ab ye huner ikhtyar kerna hai
        wo such kahe na kahe, mujhe aitbar kerna hai
        ye tujh ko jagte rehne ka shoq kab se hua?
        mujhe tou kher tera intzaar kerna hai
        i like it

        Comment


        • Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

          Originally posted by Madiha kanwal View Post
          Yaad teri jab kabhi ayi Wafa roti rahi
          ankh se barsa wo badal intiha roti rahi
          tere milne k liye jab bhi uthaye mein ne hath
          meri is masoom khuwahish per dua roti rahi

          bohat hi aallllaaaaaaaaaaaaaaa

          bohat hi unmda:masha

          Comment


          • Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

            Wafa Ki Basti Main Rahnay Walon Say Ham Nay mohsin yeh tour Seekha
            Labon Peh Ho Shera Ki Tishnigi Dilon Main Ho Nihan Samandar
            sigpic

            Comment


            • Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

              hay muhabbat k jahan mein bass onnKo izan-e-ehteram
              Jin nay ki ho bay wafai apni apni zaat say...======> Huma's

              Comment


              • Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

                nakaam tamna-e-dil iss soch main rehta hai
                yon hota to kia hota yon hota to kia hota
                umeed to bundh jati taskeen to ho jati
                wada na wafa kartay wada to kia hota
                Zindgi iss baar mera naam na shamil krna
                Agur ye tae hai ke yahi khail rahe ga

                Comment


                • Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

                  Jis shaam mere lab per tera naam na aaye,
                  Khuda kare aisi koi shaam na aaye....
                  Ay jaane wafa, ye kabhi mumkin hi nahin,
                  geet likhun aur tera naam na aaye

                  Comment


                  • Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

                    Wafa Ki baat Ki aur Aankh Hoi shabnami deykhein
                    K jaisay dushmani kar li kisi nay Hasratoun k sath
                    Huma's

                    Comment


                    • Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

                      Dekhen taqdeer mere saamne kyaa laati hai
                      be-wafaon se mujhe boo-e-Wafa aati hai

                      Comment


                      • Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

                        wafa shua`ar thay tabhi rahay hum yun tanhaaa
                        jo bay wafa hotay hajoom-e-gul hota hamraah==>> huma's

                        Comment


                        • Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

                          Har aik gaam pe khaaroN ne peshgaami ki
                          Rahe wafa mai musafir nawaz kam na mile

                          Comment

                          Working...
                          X