Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

    Aap ko bhuul jaayen ham itane to Bewafa nahin
    Aap se kyaa gilaa karen aap se kuchh gilaa nahin


    Shiishaa-e-dil ko tornaa unakaa to ek kheil hai
    Hamase hii bhuull ho gai unaki koi Khataa nahin


    Kaash vo apane Gam mujhe de den to kuchh sukuuN mile
    Vo kitanaa badanasiib hai Gam hii jise milaa nahin


    Karanaa hai gar WAFA to kyaa kaise WAFA ko chor doon
    Kehte hain is gunaah kii hotii koi sazaa nahin
    *............:rose ............*
    Waqt Khush Khush Kaatne Ka Mashwara Detay Huway...
    Ro Para Wo Aap, Mujh Ko Hosla Detay Huway...
    *......................*

    Comment


    • Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

      wafa, ikhlaas, qurbaani, muhabbat
      ab in lafzoN ka piechha kyuN kareN ham
      hamaari hi tamanna kyuN karo tum
      tumhaari hi tamanna kyuN kareN ham

      Comment


      • Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

        Aa key ab tasleem kar lein, tu nahin to main sahi
        kaun maaney ga keh ham mein bewafa koi nahin
        [unknown]
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

          Wafa
          Attached Files


          Never trust blindly!!!!

          _______________________________



          _____________________________________________

          Comment


          • Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

            kuchh to majbooriyan bhi hoti hain
            yun to koi bewafa nahin hota
            [basheer badar]
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

              Socha tujhy , dekha tujhy , chaha tujhy , bojha tujhy
              mere khata mere wafa , tere khata kuch bhe nahe

              Comment


              • Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

                Wafa na ki, na sahi, yeh bhi yaad hai tujhko
                koi jafa ko bhi terey tars raha ho ga
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

                  raste weran huwe ,manzalen sarab huwen
                  rah-e-Wafa pe musafir kab talak qayaam kare


                  Never trust blindly!!!!

                  _______________________________



                  _____________________________________________

                  Comment


                  • Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

                    Hamein bhi aa parra hai doston sey kaam kuchh yani
                    hamarey doston key bewafa honey ka waqt aay
                    [harichand akhtar]
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

                      Ahd-e- wafa to khoob nibhaya muqadder ny
                      Do gaam sath chal ky he rahain badal ga'ay

                      Comment


                      • Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

                        bewafa kahan mujh ko aap ney, baja lekin
                        is tarha nahin kehtey har kisi key barey mein
                        [anjum yusufi]
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

                          Wafa ki ham se tawaqa na rakho
                          mager aik baar aazma k tou dekhu!!


                          Never trust blindly!!!!

                          _______________________________



                          _____________________________________________

                          Comment


                          • Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

                            zid ki hai aur baat magar khu buri nahin
                            bhooley sey us ney sainkroon wadey wafa kiyey
                            [ghalib]
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

                              wafa ky diay jo humny jala'ay thy kabhe
                              unki roshni apni aankhon ma sambhal rakhna
                              aao ky dua apny khuda say kery yay hum
                              hum jab bhe milay to humay sath sath rakhna

                              Comment


                              • Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

                                Meri wafa meri khata....
                                Teri khata...... kuch bhi nahin.!
                                Jiss par hamari aankh nay,
                                Mooti bichaaye raat bhar,
                                Bhaija wahee kaghaz usay,
                                Hum nay likha...... Kuch bhi nahin
                                sigpic


                                Comment

                                Working...
                                X