Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

    maire payer ke koi dawa nahi hai yahan
    ya hum ne jaan liya ke wafa nahi hai yahan
    koi maire tarah say lota nahi hai yahan
    koi maire tarah say jala nahi hai yahan

    Comment


    • #32
      Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

      chhupey hain is mein naii aarzu key taaj mehal
      qabaey dard ka daman na tar tar karo
      kabhi to meri taraf dekh lo muhabbat sey
      kabhi to meri wafaoun ka aetbar karo
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #33
        Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

        jise aap ginte the aashnaa jise aap kahate the baawafaa
        main wahii hoon Momin-e-mubtalaa tumhein yaad ho ke na yaad ho

        Comment


        • #34
          Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

          aik shair jo mujhey bohat pasand hai:

          is dil ko teri jheel si aankhon mein dabo ker
          kuchh soch rahi hain meri nadaan wafaein
          main apney ta'aqub mein ufaq paar chala hoon
          ab dhoondney waley na mera khoj lagaein
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • #35
            Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

            woh joh mera ho nigahoon main haya rakhta ho
            umer bhur saath chalay uzmay wafa rakhta ho
            naaz uss kay na bhi uthaoon toh shikayat na keray
            gham utha ker bhi hasnay ki ada rakhta ho

            Comment


            • #36
              Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

              wafa ke zikr pe tum kion sambhal k baith gaey
              tumharee baat nahee baat hai zamaanay ki
              sigpic

              Comment


              • #37
                Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

                Apni Sab Adain Mujhe Daido; Sari Wafain Tumhain Daita Hoon
                Jo Sochi Thi Kabhi Khud Kay Liye; Woh Sab Duain Tumhain Daita Hoon

                Comment


                • #38
                  Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

                  Originally posted by Eshaa_wellwisher
                  wafa ke zikr pe tum kion sambhal k baith gaey
                  tumharee baat nahee baat hai zamaanay ki
                  Ji yeh ham share kar chukey hain :zuban:
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment


                  • #39
                    Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

                    Wafa k baab mein ilzaam-e-aashiqi na liya
                    K teri baat ki aur tera naam bhi na liya
                    sigpic

                    Comment


                    • #40
                      Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

                      Originally posted by Masood
                      Ji yeh ham share kar chukey hain :zuban:
                      haan ji abhi dekh liya hay humney .......hum k kuch lagtay :zuban:
                      sigpic

                      Comment


                      • #41
                        Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

                        Apne Haatho Se Yun Chehre Ko Chupate Q Ho,
                        Mujh Se Sharmate Ho To Saamne Atay Q Ho...
                        Tum Kabhi Mere Tarha Kar Bhi Lo Ikraar-e-Wafa,
                        Pyar Karte Ho To Phir Pyar Chupate Q Ho...

                        Comment


                        • #42
                          Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

                          Jin aankhon main sajaye thay teray sapnay bari chah say
                          Nawazay ga tu hi rawaan daryaa inhain kabhi socha na tha
                          Moorti jo banaai thi baray maan say aaitbaar-o-wafa ki
                          Aakar tu hi karay ga pamaal ussay kabhi sochaa na tha
                          Last edited by Madiha kanwal; 3 August 2006, 20:57.

                          Comment


                          • #43
                            Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

                            Ussnay Seekha nahii Wafa karna
                            Ham nay Rakkhii nahi talab koyii

                            Comment


                            • #44
                              Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

                              Na Kisi Ki Wafaa Say Tujhay Gharaz Rahay
                              Na Kisi Ki Jafaa Par Tujhey Gilaa Rahay
                              Mera Rabb Teri Khalwat Aabad Karey
                              Tu Bhari Mehfil Mein Tanhaa Rahey

                              Comment


                              • #45
                                Re: ~*~Is Maah Ka Lafz: WAFA~*~

                                Kisi bewafa ki khaatir, Yeh Junoonn Faraz kab tek
                                Jo Tumhainn Bhula Chuka hay, Ussay tum bhi Bhool jao

                                Comment

                                Working...
                                X