Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Is Haftey ka Lafz " A'aina"

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Is Haftey ka Lafz " A'aina"

    MaiN KHayaal hooN kisee aur ka
    Mujhe sochta koi aur hai
    Sar-e-aaina mera aks hai
    Pas-e-aaina koi aur hai

    Comment


    • #17
      Re: Is Haftey ka Lafz " A'aina"

      Khud apne dil ko jalaya tu ye honer jana
      Hawa ke samne kese charaq jalaya hai
      Khud apni zaat ka aajuz kyun na ho mujhe ko
      Mera zameer mujhe aaina dekhata hai

      Comment


      • #18
        Re: Is Haftey ka Lafz " A'aina"

        mien dekhti hon tu bass dekhti he rehti hon ..
        woh aainai mien bhi apnai he rang choor gaya..
        meri sari kainaat teri aik negah par nesar hai..!!!

        Comment


        • #19
          Re: Is Haftey ka Lafz " A'aina"

          Koi is dor mein woh aainey taqseem karey
          jin mein batin bhi nazar aata ho zahir ki tarha
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • #20
            Re: Is Haftey ka Lafz " A'aina"

            Aaina mujhse meri pehli si surat maange
            mere apne mere hone ki nishani mange

            Comment


            • #21
              Re: Is Haftey ka Lafz " A'aina"

              Aainah
              Attached Files
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • #22
                Re: Is Haftey ka Lafz " A'aina"

                aaiinaa kyuu.N na duu.N ke tamaashaa kahe.n jise
                aisaa kahaa.N se laauu.N ke tujhasaa kahe.n jise

                hasarat ne laa rakhaa terii bazm-e-Khayaal me.n
                guladastaa-e-nigaah suvedaa kahe.n jise


                by, Mirza Ghalib
                Visit My Early PS Work
                You Are Welcome To Comment

                Comment


                • #23
                  Re: Is Haftey ka Lafz " A'aina"


                  Mera wajood hai sachhaaion ka aaina
                  Yeh aur baat hai k mera gawaah na ho
                  Visit My Early PS Work
                  You Are Welcome To Comment

                  Comment


                  • #24
                    Re: Is Haftey ka Lafz " A'aina"

                    Parakhna mat parakhny sy koe apna nahe rehta
                    kise beh aenay ma dair tak koe chahra nahe rehta
                    bary logo sy milny ma hamesha fasla rakhna
                    jahan derya samander sy mila derya naeh rehta

                    Comment


                    • #25
                      Re: Is Haftey ka Lafz " A'aina"

                      ye jo raat din ka hai khel sa, ese dekh es per yaqeen na ker
                      nahi aks koi bhi musqil sar-e-AINA, usse bhool ja


                      Never trust blindly!!!!

                      _______________________________



                      _____________________________________________

                      Comment


                      • #26
                        Re: Is Haftey ka Lafz " A'aina"

                        aainy main jab dekhi sorat to howy barham
                        woh apni nazar ko bhi dushman ki nazar samjhy

                        Comment


                        • #27
                          Re: Is Haftey ka Lafz " A'aina"

                          ujale es qader be-noor kyun hein
                          kitaben zindagi se dooor kyun hein
                          kabhi yun ho k pather chote kha'en
                          ye her dum Aainey he chooor kyun hein


                          Never trust blindly!!!!

                          _______________________________



                          _____________________________________________

                          Comment


                          • #28
                            Re: Is Haftey ka Lafz " A'aina"

                            WO Meray sath jis aaeyinay ka Aks bana
                            juda howa tu wo aaeyna bhi tur giya
                            Huma

                            Comment


                            • #29
                              Re: Is Haftey ka Lafz " A'aina"



                              KHUDA KSI KISI KO HE AISA KAMAL DAITA HAY'
                              JO AAINEY KO BHI HAIRAT MAIN DAAL DAITA HAY'
                              BARAEY NAAM BHI JIS KO WAFA NAHI AATI'
                              WO DOSRON KO WAFA KI MISAAL DAITA HAY...

                              Comment


                              • #30
                                Re: Is Haftey ka Lafz " A'aina"

                                surat e aaina to main bhi hoon
                                rooz shab tot'ta to main bhi hoon

                                khuwab main jagnay ki aadat hay
                                nend main bolta to main bhi hoon

                                main nahi janta muhabbat ko
                                haan magr manta to main bhi hoon

                                Comment

                                Working...
                                X