Muhabbat Karna koi bari baar nahi na hi koi mushkil kaam hai.
Asal Baat Muhabbat ka Haq Ada Karna Hai
Aor wo Haq tab hi ada kiya ja sakta hai jab mUhabbat ki bunyaad Khalous par rakhi jaye.
..Laikn jis tara phol k sath kantay hotay hain Aor phol chonay k shouq mai baz ouqat hamray hath zakhmi ho jatay hain...........isi tara Muhabbat k phol k sath Kantay hotay hain jinhain ham MUashray aor samaj k naam say jantay hain.APni muhabbatHasil karnay k liye in kanton ka muqabla karna joye shair laynay k barabar hai.qadam qadam par na umidi rasta rokti hai aor Ye KANTAY rah mai dhol ura kar hamain RAH say hatana cha_htay hain.Magar Iraday ki mazboti aor Pak muhabbat aor Allah ki madad hamain Rastay ki dhol nahi bannay dayti.
Muhabbat k liye aik larkay aor larki ka muhabbat karna zarori nahi.Apnay Allah SWT say ,US k Nabi(SAW) say ,hatta k kisi b rishtay say muhabbat karna ..kisi cheez say muhabbat karna..apnay career say muhabbat karna,apnay watan say muhabbat karna.......GHarz Muhabbat koi b ho kisi say b ho ,Aham cheez k muhabat purkhalous ho,bay riya ho bay gharz ho
MUhabbat ki sab say bari Shart MAhboob ki IZZAT hai.jo shakhs apnay mahbob ki izzat nahi karta wo kabhi b sachi muhhabt nahi kar sakta...
.Muhabbat tu Zindagi hai.Bah_tay Pani ki tara Khoubbsorat,Baday Saba Ki tara Thandi,Soraj ki tara tawanai ka Makhaz,Chand ki tara pursakounn,samandar ki tara apnay andar mado jazar liye,Raat ki tara Khamosh,Asman par jagmagatay Taron ki tara apni manzil ki taraf ghamzan aor Maan ki tara Maharbann
GHarz MUhabbat tu har rang mai payyari hai Sirf Cha_hat,khalous say isay parwaan char_haien..

Comment