Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Nazam

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Nazam

    Usy kuch log kehte hain
    Bohat be-his si larki hai

    Sadaa khamosh rehti hai
    Bohat kam muskurati hai

    Nami ankho me rakhti hai
    Bohat sochon me rehti hai

    Basi ankhon me veerani
    Chupi chehre pe hairani

    Agr koi jo poochy
    Jawabi baat keh kar... Phr

    Yonhi khamosh rehti hai
    Bari be-his si larki hai

    Khud he me gum he rehti hai
    Ye kuch maghroor larki hai

    Ye batain sun kr us larki ko
    Phir kuch yaad aata hy...

    Kabi ye log kehte hain
    Bohat chanchal si larki hai

    Hamesha muskurati hai
    Or aksar gun-gunati hai

    Chamakta chand sa chehra
    Khanakta shookh sa lehja

    Diye jalty hain ankho me
    Bari shokhi hy baton me

    Fizaain dekh kr isko
    Khushi se jhoom jati hain

    Chamakti raat us k nain me
    Sapny jagaati hain

    Tamaazat dhoop ki chehre pe us k
    Gul khilati hai

    Kabi barish k mosam me
    Suhaany khel kashti k

    Kabi guriyon ki shadi ho
    Kabi geeton ki bazi ho

    Her dam pesh rehti hai
    Bari ul'larh si larki hai

    Ye kitni shokh larki hai..?

    Mgr ab log kehte hain
    Ajab be-his si larki hai

    Bohat kam muskurati hai
    Sadaa khamosh rehti hai

    Unhain maloom kese ho..?
    Wafa k qaid khany me

    Faraiz k nibhaany me
    Jo larki daar charhti hai

    Jisy sapno k bun'ny ki
    sazaain waqt ne di hon
    Jo rasmon or riwajon k
    alao me sulagti ho

    Labon ki nook pr jis k
    Galy be-jaan hoty hon

    Jism ki qaid me...
    Jab rooh aksar phar-pharati ho

    To ek kamzor si larki
    Yonhi be-mout marti hai

    To phir yon log kehte hain...

    Bohat sanjeedgi oorhy...
    Ajab be-his si larki hai

    Bohat kam muskurati hai
    Sada khamosh rehti hai...

    .Umeed E SahaR...

  • #2
    Re: Nazam

    aala intekhab........... bahut khoob Kapoor jee

    Comment


    • #3
      Re: Nazam

      :thmbup:
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment


      • #4
        Re: Nazam

        ...........TAAJ MAHAL..........
        Taaj tere liye ek mazhare ulfat hi sahi
        tujhko iss waadiye rangein se aqeedat hi sahi

        maire mahboob kahiN aur mila kar mujhse ...!!

        bazm e shaahi meiN ghareeboN ka guzar kya maani
        sabt jis raah pa hoN satwate shahi ke nishaaN
        uss pa ulfat bhari roohoN ka safar kya maani
        anginat logoNne duniya meiN mohabbat ki hai
        kaun kahta hai ke saadiq na thEy jazbe unke
        lekin unke liye tash'heer ka saamaan nahiN
        kyuNke woh logg bhi apni hi tarah muflis thEy

        meri mahboob unheiN bhi tO mohabbat hogi
        jin ki raanaai ne bakhshi hai isey shakl e jameel
        unke pyaroN ke maqabir rahe be naam o namood
        aaj tak unpa jalaai na kisi ne qandeel

        ye chamanzaar, ye Jamna ka kanara, ye mahal
        ye munaqqash dar o deewaar, ye mehraab, ye taaq
        ek shahanshah ne daulat ka sahara leikar
        humm ghariboN ki mohabbat ka uRhaya hai mazaaq

        mere mahboob kahiN aur mila kar mujhse ....!!!
        .Umeed E SahaR...

        Comment


        • #5
          Re: Nazam

          bhot khoobsoorat intikhab ..

          keep sharing





          Comment


          • #6
            Re: Nazam

            Hum ne Soch rakha hai !
            Chahe Dil ki har Khawish !
            Zindgi ki aankhoun se Ashak ban kar ,
            Beh jaaye.
            Chahe ab makeeno per ,
            ghar ki saari dewaarien chut samait gir jayein !
            Or be muqadar ham
            Is badan ke malbe mein , khud hi kiyon na Dab jayein !
            Tum se kuch nahi kehna !
            kesi neend thi apni, kaise khawab the apne .
            Or ab gulaboun per, Neend wali aankhoun per ,
            naram kho se khawaboun per kiyon Azaab toote hain !
            tum se kuch nahi kehna !
            ghar gaye hain ratoun mein, Be le bas batoun mein !
            Is tarah ki ratoun mein , kab charagh jalte hain .
            Kab Azab talte hain !
            Ab to in azaaboun se bach ke bhi nikalna hai,
            BAch kar bhi nikalna ka, Rasta nahi jaana.
            Jis tarah tumhe such ke la zawal lamhoun se wasta
            nahi jaanan.
            Hum ne soch rakha hai !
            tujh se kuch nahi kehna ........
            .Umeed E SahaR...

            Comment


            • #7
              Re: Nazam

              . Apne maAzi k ....
              Apne Maazi Ke Tasawwur Se Harasaan Hoon Main,​
              Apne Guzre Hue Ayyaam Se Nafrat Hai Mujhe.​
              Apni Bekaar Tamannaon Pe Shrminda Hoon,​
              Apni Besood Ummeedon Pe Nadamat Hai Mujhe.​

              Mere Maazi Ko Andhere Mai Daba Rehne Do,​
              Mera Maazi Meri Zillat Ke Siwa Kuch Bhi Nahin.​
              Meri Ummeedon Ka Haasil Meri Kaawish Ka Sila,​
              Ek Benaam Azeeyat Ke Siwa Kuch Bhi Nahin.​

              Kitini Bekaar Ummeedon Ka Sahara Lekar,​
              Maine Aiwaan Sajaye The Kisi Ki Khaatir.​
              Kitni Berabt Tamannaon Ke Mubham Khaake,​
              Apne Khwabon Mai Basaye The Kisi Ki Khaatir.​

              Mujhko Kehne Do Ke Main Aaj Bhi Ji Sakta Hoon,​
              Ishq Nakaam Sahi Zindagi Nakaam Nahin.​
              Unko Apnane Ki Khwahish Unhe Paane Ki Talab,​
              Shauq Bekaar Sahi Sai-E-Gham Anjaam Nahin.​
              .....(Sahir Ludhianvi)​
              .Umeed E SahaR...

              Comment


              • #8
                Re: Nazam

                bohat khoob lajwab
                :(

                Comment


                • #9
                  Re: Nazam

                  DAAGH

                  bari bey wajood hai zindagi
                  key mai hon ye mujh ko yaqeen nahi

                  mujhey keh rahey hai ye dukh merey
                  mai kahin nahi mai kahin nahi

                  merey mamta merey babla
                  terey chand mai koi daagh hai

                  kisi aik lamhey ki baat kya
                  ye tamam zindagi daagh hai

                  kabhi tun mai raat ka zeher hai
                  kabhi maan mai jaghta dard hai

                  meri ankhai bhuj gai hijir mai
                  mera chehra runj sey zard hai

                  meri zaat kya hai hayyat kya
                  kabhi phool hai kabhi daagh hai

                  kisi aik lamhey ki baat kya
                  ye tamam zindagi daagh hai

                  merey moula tu ney banai hai
                  kya ajeeb kuriyon ki qismatain

                  hai kahin nazer mai haqaratain
                  tou kahin dillo mai hai nafratain

                  chala a rha hai azal sey jo
                  ye usi tarha ka daagh hai

                  kisi aik lamhey ki baat kya
                  ye tammam zindagi daagh hai
                  .Umeed E SahaR...

                  Comment


                  • #10
                    Re: Nazam

                    Bohat KHoob Wardha Kamal Ki Lines Hain

                    meri ankhai bhuj gai hijir mai​
                    mera chehra runj sey zard hai​


                    Bohat Acha zouq Ha Ap ka....


                    Khush rehay


                    PBT
                    :(

                    Comment


                    • #11
                      Re: Nazam

                      Originally posted by Dr Faustus View Post
                      Bohat KHoob Wardha Kamal Ki Lines Hain

                      meri ankhai bhuj gai hijir mai​
                      mera chehra runj sey zard hai​


                      Bohat Acha zouq Ha Ap ka....


                      Khush rehay


                      PBT
                      Buhat shukriya .. :) DOc SAhb
                      .Umeed E SahaR...

                      Comment


                      • #12
                        Re: Nazam

                        !!..چل انشا اپنے گاوں میں
                        یہاں الجھے الجھے روپ بہت
                        پر اصلی کم بہروپ بہت
                        اس پیڑ کے نیچے کیا رکنا
                        جہاں سایا کم ھو دھوپ بہت
                        چل انشا اپنے گاوں میں
                        بیٹھیں گے سکھ کی چھاوں میں
                        کیوں تیری آنکھ سوالی ہے
                        یہاں ہر اک بات نرالی ہے
                        اس دیس بسیرا مت کرنا
                        یہاں مفلس ھونا گالی ہے
                        چل انشا اپنے گاوں میں
                        جہاں سچے رشتے یاروں کے
                        جہاں وعدے پکے پیاروں کے
                        جہاں گھونگھٹ زیور ناروں کے
                        جہاں جھومیں کومل سر والے
                        جہاں ساز بجیں بن تاروں کے
                        کرے سجدہ وفا بھی پاوں میں
                        !!...چل انشا اپنے گاوں میں
                        .Umeed E SahaR...

                        Comment


                        • #13
                          Re: Nazam

                          Bohat Khoob Achi nazm Aur acha laga urdu Rasm ul khat ma Ap ki post dikh ka


                          Khush rehay
                          :(

                          Comment


                          • #14
                            Re: Nazam


                            Jigar dareeda hoon, chaak-e-jigar ki baat suno
                            Umeed-e-sahar ki baat suno

                            Alam raseeda hoon, daman-e-tar ki baat suno
                            Umeed-e-sahar ki baat suno

                            Zubaan bureeda hoon, zakhm-e-guloo sey harf karo
                            Umeed-e-sahar ki baat suno

                            Shikasta pa hoon, malaal-e-safar ki baat suno
                            Umeed-e-sahar ki baat suno

                            Musafir-e-rah-e-sehra-e-zulmat-e-shab se
                            Ab iltafat-e-nigar-e-sahar ki baat suno

                            Umeed-e-sahar ki baat sunoo!
                            .Umeed E SahaR...

                            Comment

                            Working...
                            X