Ajab Din Thhey Mohabbat Ke
Ajab Raatein Thhein Chaahat Ki
Kabhi Gar Yaad Aa Jaein
To Palkon Per Sitaarey Jhilmilaatey Hein
Kissi Ki Yaad Mein,
Raaton Ko Aksar Jaagna Maamool Thha Apna
Kabhi Gar Neend Aajati!
To Ham Ye Soch Letey Thhey!
Abhi To Woh Hamaarey Waastey!
Soyaa Nahi Ho Gaa!
Abhi Royaa Nahi Ho Ga!
To Phir Ham Jaagtey Thhey Aur Uus Ko Yaad Kertey Thhey!,
Akeley Baith Ker Weeran Dil Abaad Kertey Thhey!
Hmaarey Saamney Taaron Ki Jhhurmut Mein!
Akela Chaand Hota Thha!
Jo Uus Ke Husn Ke Aagey!
Bohat Hi Maand Hota Thha!
Jab Agley Roz Ham Miltey To!
To Guzri Raat Ki Har Be-Kali Ka Zikar Kertey Thhey!
Har Ik Qissa Suunatey Thhey!
Kahan Kis Baat Pe Dil Dharka Batatey Thhey!
Mein Jab Kehta !
Ke Jaanan Raat Ko!
Roshan Sitaaron Mein!
Tumhaara Naam Daikha Thha!
To ‘Woh’ Kehti!
Razi Tum Jhoot Kehtey Ho!
Sitaarey Mein Ne Daikhey Thhey!
Aur Uun Roshan Sitaaron Mein!
Tumhaara Naam Likhha Thha!!!!
Ajab ‘Masoom’ Larki Thhi!
Mujhe Kehti Thhi Lagta Hai!
Ke Ab Apney Sitaarey!
Mil Hi Jaaein Gai!
Magar Uuss Ko Khabar Kia Thhi!
Kinaarey Mil Nahi Saktey!
Mohabbat Ki Kahaani Mein,
Mohabbat Kerney Walon Ke,
‘Sitaarey’ Mil Nahi Saktey