Na sama’aton min tapish ghule, na nazar ko waqif-e-azab kar.
Jo sunai de use chup sikha, jo dikhai de use khwab kar.
Abhi muntashir na ho ajnabi, na wisal rut k karam jita.
Jo teri talash min gum hoe kabhi un dinon ka hisab kar.
Mere sabar par koi ajar kiya, meri dupehar pe ye abar kiyon.
Mujhe orhne de aziyaten, meri aadaten na kharab kar.
Kahin aablon k bhanwar bajen, kahin dhoop roop badan sajen.
Kabhi dil ko thal ka mizaj de, kabhi chashm-e-tar ko chanab kar.
Ye hujoom-e-sitam-garan na sune ga teri sada kabhi.
Meri hasraton ko sukhan suna, meri khwahishon se khitab kar.
Ye juloos-e-fasl-e-bahar he, tahi dast, yar, saja ise.
Koi ashk phir se sharer bana, koi zakham phir se gulab kar.