

Wo ana prast sahi us ki baton min iqrar bhi tha.
Us k chubhte hoe lehje min chupa piyar bhi tha.

Wo mujhe likhta he k muntazir na rahon lekin.
Us ki tehrir min sadiyon ka intazar bhi tha.

Wo kehta he mat rutho k manana nhi ata.
Meri narazgi pe lekin wo be-qarar bhi tha.

Min shayad phir na likhta use apni khabar lekin.
Piyar ka bharam rakhna tha kuch dil be-ikhtiyar bhi tha.
