



Humari anaa ko gawara hi na tha k mohabbat mang kar lete.
Aur un min itna zarf na tha k bin mange luta dete.

Aik muddat tak is dil ki beqarariyan na gain.
Har roz use khat likhte, har roz jala dete.

Khud ko us ki mohabbat k qabil hi na samjha warna.
Toot k use aisa chahte k khud ko bhula dete.

Kabhi azma k dekhte us ki khwahishon ki khatir.
Us k qadmon min bikhar jate, us ki rahon ko saja dete.



