Woh ajnabi ajnabi se chehray woh khawab khaimay rawan dawan se,
Basay hue hain abhi nazar mein sabhi manazir dhuwan dhuwan se,
Ye aks-e-dagh-e-shikast-e-payman
wo rang-e-zakhm-e-khulos-e-yaran,
Main ghumgusaron mein sochti hon
k baat cheroon kahan kahan se.
Ye sungraizay adawton k
woh aabgenay sakhawton ke,
Dil-e-musafir qubool kar le
mila hai jo kuch jahan jahan se.
Bicharnay wala bicher chala tha to nisbtein bhi ganwa ke jata,
Tery liye shehr bhar se ab bhi main zakhm khaon zubaan zubaan se.
Meri mohabbat ke wehmon se
paray tha tera wajood warna,
Jahan jahan tera aks thehra main ho k ai hun wahan wahan se.

Comment