Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

mujhay sehal ho gain manzilain, wo hawa ke rukh bhi badal gaye

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • mujhay sehal ho gain manzilain, wo hawa ke rukh bhi badal gaye

    mujhay sehal ho gain manzilain, wo hawa ke rukh bhi badal gaye
    tera haath haath main aa gaya ke chiragh rah main jal gaye

    wo lajaye mere sawal per ke utha sake na jhuka ke ser
    urri zulf chehray pe iss tarah ke shabon ke raz machal gaye

    wohi baat jo na wo keh sakay, mere shair-o-naghma main aa gai
    wohi lab na main jinhain choo saka, qadah-e-sharab main dhal gaye

    wohi asatan hai wohi jabeen, wohi ashk hai, wohi aasteen
    dil-e-zar to bhi badal kahin ke jahan ke taur badal gaye

    tujhay chashm-e-mast pata bhi hai ke shabab garmi-e-bazm hai
    tujhay chashm-e-mast khabar bhi hai ke sab abgeenay pighal gaye

    mere kaam aa gain akhrish yahi kawashain yahi gardishain
    barhin iss qadar meri manzilain ke qadam ke khar nikal gaye



  • #2
    Re: mujhay sehal ho gain manzilain, wo hawa ke rukh bhi badal gaye

    Bohat Khoob :)
    :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

    Comment

    Working...
    X