Farz karo
hum bhor samay ke panchhi hote
udte udte ek dooje ko chhoote aur phir
khule gagan ki khuli aur besarfa ankhon me
kho jate
abre bahar ke jhonke hote
mausam ke ek benaqsh se khwab me milte
aur juda ho jate
khushk zameeno ke hathon pe
sabz lakeeren kundah karte
aur andekhe sapne bote
apne apne ansu rokar chen se sote
farz karo
hum jo kuch ab hain woh na hote………….
hum bhor samay ke panchhi hote
udte udte ek dooje ko chhoote aur phir
khule gagan ki khuli aur besarfa ankhon me
kho jate
abre bahar ke jhonke hote
mausam ke ek benaqsh se khwab me milte
aur juda ho jate
khushk zameeno ke hathon pe
sabz lakeeren kundah karte
aur andekhe sapne bote
apne apne ansu rokar chen se sote
farz karo
hum jo kuch ab hain woh na hote………….
Comment