Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Sham thi December ki.

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Sham thi December ki.



    Sham thi December ki.
    Sard sard jhonke the.
    Is liye hi to shayad.

    Perh pe parinde the.
    Aur na sadaen thin.
    Aur sookhe patton pe ous ki nami si thi.

    Ik sakut taari tha.
    Jese sara gulshan hi.
    Mere gham min shamil tha.

    Min jo perh k niche.
    Yon udas betha tha.
    Jese k judai ko.

    Chand lamhe guzre hon.
    Jab k ye haqiqat he.
    Jane kitne barson se.

    Is trah hi karta hon.
    Sal k guzarne se.
    Chand roz pehle hi.

    Sab se rooth jata hon.
    Khud se door jata hon.
    Aur sab se chhup k min.

    Tera gham manata hon.



Working...
X