Hum bare ho gai
Muskurahat, Tabassum, Hansi, Qahqahay
Sab k sab kho gai
Hum bare ho gai
Zimmadari musalsal nibhate rahe
Bojh auron ka bhi hum uthate rahe
Apne dukh soch kar royein tanhai mein
Mehfil mein magar muskurate hain
Kitne logo se ab mukhtalif ho gai
Hum bare ho gai
Or kitni musafat hai baqi abhi?
Zindagi ki hararat hai kitni abhi ?
Wo jo hum se bare hain salamat rahein
Un sabhi ki zaroorat hai baqi abhi
Khatm hone ko ab zindagani hui
Jane kab ayi or kia jawani hui ?
Dekhte dekhte kia se kia ho gai
Hum bare ho gai
Haqiqat ab kahani ho gai
Manzilein mil gai, Musafir kho gai
Hum bare ho gai
Muskurahat, Tabassum, Hansi, Qahqahay
Sab k sab kho gai
Hum bare ho gai
Zimmadari musalsal nibhate rahe
Bojh auron ka bhi hum uthate rahe
Apne dukh soch kar royein tanhai mein
Mehfil mein magar muskurate hain
Kitne logo se ab mukhtalif ho gai
Hum bare ho gai
Or kitni musafat hai baqi abhi?
Zindagi ki hararat hai kitni abhi ?
Wo jo hum se bare hain salamat rahein
Un sabhi ki zaroorat hai baqi abhi
Khatm hone ko ab zindagani hui
Jane kab ayi or kia jawani hui ?
Dekhte dekhte kia se kia ho gai
Hum bare ho gai
Haqiqat ab kahani ho gai
Manzilein mil gai, Musafir kho gai
Hum bare ho gai