Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

sunO mareY sajNa!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • sunO mareY sajNa!

    SunO mareY sajNa!
    Jo kaL maiN tumhaiN kahiN idhar udhar dikhai na dooN nazar na aaoN
    tujhey teri he kasam zara sa bhe koi tum Gham na Karna

    suNo mareY sajNa!
    Agar andheroN main meiN khin door buhat door khoo jaoN
    tujhey pyar ki Kasam palKaiN apni bilKuL bhe nuM Na Karna

    suNo mareY sajNa!
    Meri jo yaad satayE aur main mil kar bhi us garhi mil na paaoN
    tujhey dosti ki kasam mann ko apney chaak-e-zakhm Na Karna

    suNo mareY sajNa!
    Dil jo tera tarPe our meray liyE aur main behla na paoN
    tujhey dil ki kasam dil kay kisi konaY mein koi weham Na Karna

    sunO marey SajNa!
    Jo zindaGi say GhaBrA jaoN aur marey GaLey say LaG na paoN
    tujhey zindaGi ki kasam hai hosla meri jaAn kam Na karna

    sunO marey sajna!
    DuniyA jo chalney LagEy apni chaaL aur main BaCh na paoN
    tujhey duniyA he ki kasam pamaaL ulfat Ka bharam Na Karna!

    SunO marey sajNa!

    Yeh meri darkan teri amanat hai ise to darkha Na paoN
    tujhey darkan ki kasam Chota uMeeD ka daman Na Karna!

    SunO marey SajNa?

    Tu pukarey mujhko ho kay beqaraar aur main sun he na paoN
    tujhey apni chahat ki kasam ho kay mayoOs awaz apni madham Na Karna

    sunO mareY sajNa!

    Marey sarey sapney hai tarey NaaM magar jo main inhe bun na paoN
    tujhey khawaBoN ki kasam marey rastey say rasta apna Gum Na Karna!

    SunO marEy sajNa!
    RazA-e-elahi jo main gehri neend so jaoOn aur jaaG na paaoN
    tujhey meri kasam
    ehsaas-e-jeewan apney liyE kam Na Karna. . . . . . . .!! <


Working...
X