Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

sirf pagal poetry

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • sirf pagal poetry



    yeh thread mera life activity kay leye hai


    Main bhi kitni pagal hoon na
    Sang hawa k urna chahoon
    Titli ban kar nagri nagri
    Gulshan Gulshan phirna chahoon
    Phooloon k sab rang chura kar
    Chunri apni rangna chahoon
    Main bhi kitni pagal hoon na



  • #2
    Re: sirf pagal poetry

    Ye Jantay Huye Bhi
    K
    Wo Hawa Hai
    Mere Hath Na Aye Ga
    Wo Badal Hai
    Jisay Main
    Choo Na Paun Ga
    Phir Bhi Main Ne
    Hawa Ko Pakarna Chaha
    Badal Ko Choona Chaha

    Comment


    • #3
      Re: sirf pagal poetry

      Wo mujhse meri udasion ki waja pochta he,
      kaisa pagal he dhalti rat k sannate ki wajah pochta hai,

      Wo mujhse meri barsati aankhon ki waja pochta hai,
      kaisa pagal hai barish k barasne ki wajeh pochta hai,

      Wo mujhse meri pasand k bare me pochta hai,
      kaisa pagal hai khud apne bare main pochta hai

      Comment


      • #4
        Re: sirf pagal poetry

        Piyaar Key Deep Jalaney waley
        Kuch Kuch Pagal Hotey Hein
        Apni Jaan Sey Janey Waley
        Kuch Kuch Pagal Hotey Hein.

        Hijar Key Gehrey Zakham Miley
        To Mujh Ko Kuch Ehsaas Hua
        Pagal Ko Samjhaaney Waley
        Kuch Kuch Pagal Hotey Hein

        Jaan Sey Piyarey Loogon Sey Bhi
        Kuch Kuch Perda Lazim Hey
        Sari Baat Bataney Waley
        Kuch Kuch Pagal Hotey Hein.

        Khawbon Main Bhi Anmol Milan
        Key Sapney Dekhtey Rehtey Hein
        Neendon Main Muskraney Waley
        Kuch Kuch Pagal Hotey Hein.

        Iss Jhooti Nagri Main Hum Ney
        Yehi Hamesha Deikha Hey
        Sachi Baat Bataney Waley
        Kuch Kuch Pagal Hotey Hein.

        Piyaar Jinhein Ho Jaye Un Ko
        Chain Bhala Kab Mill Pata Hai
        Shab Bhar Ashk Bahaney Waley
        Kuch Kuch Pagal Hotey Hein.

        Apni Zaat Key Ujrey Gulshan Sey
        Wo Piyaar Kahan Kertey Hein
        Auroon Ko Mehkaney Waley
        Kuch Kuch Pagal Hotey Hein !!

        Comment


        • #5
          Re: sirf pagal poetry

          Bahar se nafrat thi,
          Par dil me wo mere basta tha !
          Wo pagal sa ek ladka,
          Jo dekh ke mujhko hanstatha !!
          Kyun thukraya ? mang ko uski,
          Soch ke ab pachhtati hu !
          Dil ke badle dil manga tha,
          sauda kitna sasta tha !!
          Kisse puchhu ? kaise puchhu ?
          Kyun nahi deta ab dikhayi!
          Roz guzarta tha wo idhar se,
          Uska yahi rasta tha !!
          Dard chhupa kar jeena uski,
          bahut purani adat thi !
          Bheetar-bheetar rota tha wo,
          bahar-bahar hansta tha !!

          Comment


          • #6
            Re: sirf pagal poetry

            Tere milane ko bekal ho gaye hain
            magar ye log pagal ho gaye hain
            baharen leke aaye the jahan tum
            wo ghar sunsan jangal ho gaye hain
            yahan tak badh gaye aalam-e-hasti
            ki dil ke hausale shal ho gaye hain
            kahan tak tab laye natavan dil
            ki sadame ab musalsal ho gaye hain
            nigah-e-yas ko neend aa rahi hai
            musarda purashk bojhal ho gaye hain
            unhen sadiyon na bhulega zamana
            yahan jo hadase kal ho gaye hain
            jinhen hum dekh kar jite the ‘nasir’
            wo log aankhon se ojhal ho gaye hain

            Comment


            • #7
              Re: sirf pagal poetry

              Koi Deewana Kehta Hai Koi Pagal Samajhta Hai
              Magar Dharti Ki Bechani Ko Bus Badal Samajhta Hai
              Mein Tujhse Door Kaisa Hoon, Tu Mujhse Door Kaisi Hai
              Ye Tera Dil Samajhta Hai Ya Mera Dil Samajhta Hai

              Comment


              • #8
                Re: sirf pagal poetry

                Aashiq Pagal Ho Jate Hai Pyar Mein,
                Baki Kasar Puri Ho Jati Hai Intezar Mein.
                Magar Ye Fouzii Dilruba Nahi Samajhti,
                Golgappe Khati Firti Hai Baazar Mein.

                Comment


                • #9
                  Re: sirf pagal poetry

                  Ek Pagal Pagal Si Ladki…
                  Dil Toornay Se Darti Thi…….
                  Har Pal Har Lamha Khud Se Woh Jhagarti Thi…
                  Ansoo Kiun Aye Kisi Ankh
                  Main Mujrim Khud Ko Samujhti Thi

                  Comment


                  • #10
                    Re: sirf pagal poetry

                    Saza Na Do Mujh Ko Be-Qasoor Hon Mein
                    Tham Lo Mujko Ghamon Sy Choor Hon Mein
                    Tere Pyar Ny Kr Diya Pagal Sa Mujhy
                    Aur Logon Ka Kehna Hai K Maghror Hon Mein!!

                    Comment


                    • #11
                      Re: sirf pagal poetry

                      Mere Pagal Piya Meri Chahat Na Kar
                      Mujhey Dekha Na Kar Mujha Sochaa Na Kar

                      Meri Be Khawab Aankhon Mein Na Janka Kar
                      Mein To Khoo Jao Gi Mujhey Na Dhoonda Kar

                      Mein Hun Bad-E-Saba Jo Rukti Nahi
                      Mein Hun Essi Ghatta Jo Barasti Nahi Hai

                      Mien Essi Leher Hun Jiss Mein Halchal Na Ho
                      Na Tum Ko Dabo Dey Ye Lehrein Kahein

                      Mere Pagal Piya Essi Khawaesh Na Kar
                      Mein Woh Sapna Hun Jo Ke Sach Na Ho

                      Mein Woh Umid Hun Jo Ke Adhoori Rahey
                      Mein Woh Rasta Hun Jiski Na Manzil Miley

                      Mein Woh Sehraa Hun Ke Jis Mein Bhatak Jao Ge
                      Mere Pagal Piya Esse Raste Pe Na Chal

                      Mein Essi Kiran Hun Jo Ke Be-Noor Hai
                      Mein To Woh Sep Hun Jiss Mein Moti Na Miley

                      Mein To Woh Khooshboo Hun Jiss Ko Bikar Jana Hai
                      Mere Pagal Piya Mera Picha Na Kar

                      Mein To Woh Shaam Hun Jo Ke Dhal Jaye Gi
                      Mein To Woh Rat Hun Jiska Sawera Na Ho

                      Mein To Woh Aag Hun Jo Ke Dehekti Rahe
                      Na Mere Paas Tu Aaa To Be Jaal Jaye Ga

                      Mere Pagal Piya Tu Lout Jaa
                      Mere Pagal Piya Meri Chahat Na Kar

                      Mujhe Dekha Kar Mujhe Sochaa Na Kar
                      Mere Pagal Piya

                      Comment

                      Working...
                      X